Aqaid - BeliefsI.NewsMinhaji

Relations of The Scholars and Rulers : A Serious warning

Relations of The Scholars & Rulers

Quran 35:28:- (Allah se wahi log darte hain jo ilm wale hain (Scholars)|

Paighambar Muhammad (ﷺ) ne farmaya, ulema (Scholars) Nabiyon ke waris hote hain (Abu Dawud & Bukhari)| Ye hadith aur kuchh aur sahih hadeeson se pata chalta hai ki Ulema Nabiyon ke ilm ke waris hain na ki Nubuwwat ke (jaise ki ek Nabi se doosre Nabi ko Nabuwwat milti thee) aur masoom bhi nahin hote aur na hi ye Mojizah dikha sakte hain aur na hi inko Jibrail alayhi salaam se koi wahi aati hai, Balki inme Huzur Alayhi salam ki kuchh khususiyat aur sifat maujood hoti hain, jaise ke sach par sabit qadam rahna, sach ka sath dene ke liye sabke sath sab se aage rahna, awam ki asaan rasai hona, sach ki taraf raghib karna aur ghalat se rokna, awam ko Tauheed ki dawat dena, talim dena,  mu’ashare ki tarbiyat karna| aise ulema haq ki baat pahunchane me kabhi samjhauta nahin karte aur na hi kabhi zulm, tanashahi aur jabr ke samne jhukte hain| yahan tak ki ye Allah (سبحانه و تعالى) ka paigham ummat tak pahunchane me apni jaan tak ki qurbani de dete hain|

***Aaj ke is purfitan daur me is baat ki shadeed zaroorat hai ki sachche Waris aur ja’li Waris ka farq samjha jaye, isi mauqif ko dhyan me rakhkar ye chhota sa mazmoon likh gaya hai***|

***Shadeed Intibah (serious warning)***

  • Ibn abbas (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: Registaan (desert) me rahne wala rookha (Rough) ho jata hai, game khelne wala laparwah (aalsi) ho jata hai, aur Hukmran (rulers) ke paas jane wala FITNE me giraftar ho jata hai| (Abu Dawood, Tirmizi sharif)
  • Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya:- jab bhi koi Aalim hukmran (Ruler) ke nazdiq hota hai to wo Allah se door ho jata hai| (Ahmad)
  • Imam Rafi ne naqal kiya hai ki Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya:- Allah ke nazdiq wo aalim sari makhlooq me sabse zyada Zalil hai jo kisi hukmran se mail jol rakhta hai|
  • Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya:- Allah ke nazdiq sabse zyada zaleel who Qaari (Quran reciter) hai jo hukmran se mail jol rakhta hai| (Ibn Majah)
  • Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya:- jab bhi tum kisi Aalim ko hukmraan se mel jol rakhte dekho to khabardaar ho jao aisa aalim chor hai (Deen ka chor)| (daylami & Masnad firdaus)

Paighambar Muhammad (ﷺ) ne farmaya, meri ummat me aise bhi log honge jo deen seekhenge aur kahenge chalo hukmranon (rulers) ke paas, shayad hamen kuchh ma’li madad mil jaye aur isme ham apne deen se kuchh samjhauta nahin karenge| asal me aise log bilkul bhi aise nahin honge, aise log aise hain jaise ki kisi jagah par kaante (Thorns) hon aur kheti ki jaye aur kaante bilkul bhi na chubhen… | aise log usse (rulers) se kuchh nahin pa sakte siwaye Gunah ke|

  • Thauban (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki maine Allah k Nabi (ﷺ) se daryaft kiya ki Ya Rasulallah main aapke ahle bait se hun, Allah ke Nabi (ﷺ) ne jawab nahin diya, maine phir kaha ki Ya Rasulallah (ﷺ) main apke ahle bait se hun, magar Allah ke Nabi (ﷺ) ne phir jawab nahin diya, phir maine kaha “kya main aapki ahle bait ke beton (Sons) me se nahin hun?
    Allah k Nabi (ﷺ) ne farmaya “Han” jab tak tum kisi hukmraan k dar par na jao. (Tabarani) [aaj ke daur ke kuchh apne aapko Ahle Bait se kahne walon ke liye ye hadith khastaur par dalalat karti hai]

Imam Abu Hanifa (Radi Allahu Anhu) ne farmaya, agar tum kisi Aalim ko Khalifa ke paas zyada (regular) aata jaata dekho to uski mukhalfat karo| aur ham jante hain ki Imam e azam Imam Abu Hanifa (Radi Allahu Anhu) ne khud bhi Khalifa ka Judge banne se inkar kar diya tha aur jiski wajah se apko saza bhi di gayi thee| ye is baat ki daleel hai ki ye Hukmraan ki zimmedari hai ki Aalim ke paas aaye na ki Aalim ka kaam ki wo Hukmranon ke pichhe chakkar lagaye|

  • Abdulla ibn umar (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: mere baad aise hukmraan honge jo jhoothe aur zaalim honge, jo koi bhi aise hukmraano ke paas jaye aur uski madad kare, wo mujhse nahin aur main usse nahin aise shakhsh ko qayamat k din meri shafa’at/Jhanda/fountain k neeche jagah nahin milegi aur jisne uska sath nahin diya aur usse door raha, Qayamat ke din wo mere Fountain/Jhande k neeche hoga. (Imam Shirazi & Imam Tirmizi)
  • Hazarat Ali (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: Fuqaha (Ulema) mere Trustee/Nayab hain jab tak wo duniyavi lalach me mubtila na ho jayen ya hukmranon ki pairvi karen, aise aalimon se hoshiyar raho. (Imam Askari).

Ek islami usool hai ki Ulema ko free hona chahiye deen ki khidmat karne ke liye, logon ke sawalon ke jawab dene ke liye aur na ki peshe (occupation) me masroof rahe, Hazrat Umar (Radi Allahu Anhu) ne farmaya, logon apne aalimon ki khidmat karo (maal wa daulat se) jisse ki unko Mulazmat (job) ki zaroorat na pade aur deen ki khidmat karte rahen

  • Mu’adh Ibn Jabal (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: jab bhi koi aalime deen kisi hukmraan ke paas jaye to wo us hukmran k zulm me shareek mana jayega aur usko uske sath jahannum me saza milegi. (Hakim & Daylami)
  • Mu’adh ibn jabal (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: jo quran padhe, deen seekhe aur hukmraan se mail jol rakhe uski buraiyon ke khilaf na bole to yah sab duniya parasti ke liye hai chahe wo hukraan se fayda uthane ke liye ho ya uske baad walon se, aisa aalim jahannum ki aag me uske ek ek qadam sath hoga. (Imam Suyuti).

Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya, aakhiri zamane me aise aalim honge jo awam se aakhirat ke liye kaam karne ki hausla afzayi karenge magar wo khud is par amal nahin karenge| wo awam se kahenge ki duniya ke lalach me na pado halanki wo khud is me mubtia honge, awam ko hukmranon ke paas jane se rokenge aur kahenge ki duniyavi marahalon me na uljhe raho jabki wo khud aisa na karenge aur aise log Hukmranon ke paas jayenge| (Hyppocrate/Munafiq/Double Standard)|

  • Hassan Ibn Ali (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: meri ummat par Allah ka saya rahega jab tak ki ummat ke Aalim hukmraanon se compromise na karenge. (Abu Amradani Kitab-ul-Fitan)

Ek baar ek sahabi (companion) Allah ke Nabi (ﷺ) ke paas aaye aur Dadhi mubarak (beard) ko chhuu (touched) kar daryaft kiya Ya Rasulallah (ﷺ) aapko kis baat se dukh hota hai? Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya, ham sab Allah hi ke liye hain aur Allah hi ke paas lautkar jana hai , Jibrail Alayhi Salam mere paas aaye aur ek Bade Fitne ke bare me bataya| Sahaba e Kiram (companions) ne daryaft kiya Ya Rasulallah (ﷺ) ye fitna kahan se aayega? Allah ke Nabi (ﷺ) ne Farmaya, Quran ke achchhe qari aur hukmranon se | Hukmraan logon ko unke huqooq nahin denge aur Qari unke khwahisaat me sath denge| Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya, O Jibrail meri ummat ke log jo is fitne se bachna chahen wo kya karen? Jibrail Alayhi Salam ne farmaya, aise hukmraan se door rahen aur deen par jame (firm) rahen aise hukmraan agar unko kuchh dena chahen (jo awam ka haq hai) to le len aur agar na dena chahen to sabr Karen|

  • Abdullah Ibn Harith (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: mere baad aise hukmran honge jo fitna phailayenge ye oont (Camel) ke jhund ki tarah honge, jab bhi ye kisi ko kuchh denge to badle me uske barabar uske deen me se le lenge (Iman kharab kar denge). [Hakim]
  • Abdulla Ibn Umar (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: hyukmranon ki pairvi karne se hoshiyar raho, jo insan hukmranon k jitney najdeeq hoga wo Allah se utna hi door ho jayega| aur jo kisi hukmraan ki pairvi karega aur uske kamon ko jawaz (justify) dega (uske bure kamon ke khilaf na bolkar) to Allah aise insan ke dil me fitnah daal dega (zahir aur androoni dono tarah se) aur uske dil se apna khauf nikal dega aur Allah usko gumrah chhor dega. [Daylami]
  • Ibn Abbad (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya, meri ummat me aise log bhi honge jo quran padhenge, deen seekhenge, Shaitan aise logon ke paas aayega aur kahega agar tum Hukmran (ruler) ke paas jao to wo tumhari duniya achchhi kar dega aur tumhen isme apne deen se samjhauta karne ki zaroorat nahin hai| Ubaid Ibn Umayr (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya, jab bhi koi insan kisi hukran ke nazdeeq hota hai to wo Allah se door ho jata hai, aur aisa insan Allah ki rahmat se mahroom ho jata hai|

Abu Darda (Radi Allahu Anhu) riwayat karte hain ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya, jo koi bhi apni marzi se kisi zalim hukmran ke paas jayega, uske sath achchhe rishte chahe usko salam kare, to jitni doori wo usse milne aur wapas aane me tay karega utni hi doori jahannum ki aag me tay karega| jo bhi aise hukmran ki taraf ma’il (inclined) hoga aur usko support karega to aisa insan us hukmran ke barabar hi Allah ke azab ka mustahaq hoga| aur jab bhi Allah us hukmran ko jahannum me saza dega to uske barabar hi aise insan ko saza di jayegi|

Abdullah Ibn Umar (Radi Allahu Anhu) se riwayat ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya, jo koi quran padhe aur deen ko seekhe aur dunyavi fayde ke liye kisi hukmraan ke paas jaye to Allah aise insan ke dil par muhar laga dega aur usko har din saza dega|

  • Banu Salim k ek shakhs ne Allah ke Nabi (ﷺ) se daryaft kiya, “Ya Rasulallah (ﷺ) mujhe kuchh nasihat karen, Allah k Nabi (ﷺ) ne farmaya “Humkmranon k darwaze se hoshiyar raho”|[Bayhaqi]
  • Hazarat Ali (radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya: hukmraan ki sohbat se bacho ki ye tumhen baddeen kar degi aur unse madad lene se bacho ki tum iske nuqsanaat nahin jaan sakte aur tum tarif ke layaq na rahoge| [Daylami]
  • Ibn Abi Dharr (Radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah ke Nabi (ﷺ) ne farmaya, meri ummat me se wo log sabse achchhe hain jo kisi hukmran se nazdeeqi nahin rakhte hain|

Ye sari hadees e pak aur riwayaten is baat par daleel karti hai ki hamen hukmranon se door rahna chahiye , jaisa ki aajkal ham dekhte hain presidents, prime ministers, kings, colonels, chief of sultans jo Shariyat se bahut door hain  ye sab ke sab fasiq zalim aur kafir hain isliye inki hukumat taghooti  hukumaten hain aur hamen inse door rahna chahiye|

Click here to read about Last Prophet

Join us on Social Media. Facebook | Twitter | Instagram

Click here to Visit our Video Website.
Click here to Visit our Book Store.

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button

Adblock Detected

Please Remove our Site from Ad Blocker or Dsiable it and Support Us.