Khawab - Dreams

Khawab mai Saanp dekhna Kesa – Seeing a Snake in Dream

Question:

Khawab mai saanp ko dekha is ki Tabeer bata dai?

Answer:

Khawab mai saanp kis tarah dekha ye bhi dekha jata hai, Ap ne sirf saanp dekha is ka zikar kia. Lekin baki tafseela bayan nahi ki.

Hum Bazurgo ki tabeerai jesai hai wesai hi share ker detai hai. Ap khud dekh lai ap per konsi surat lagu hoti hai, wohi us ki tabeer hogi.

Hazrat Ibn e Seeri Alai Rehma

ne farmaya k Khawab mai Saanp Bad-khawah aur Poshida (Chupa hua) Dushman hai. Aur agar dekhai k us k ghar mai saanp hai to Gharailu dushman per daleel hai. Agar jangal mai dakhai to begana–gair dushman hai. Aur dekhai sanp se larayi ki to dushman se larayi kerai ga. Agar dekhai Sanp us per galib aya hai to Dushman per fateh na paye ga.

Aur agar dekhai k saanp ne us ko kata hai Daleel hai k dushman se nuqsan paye ga aur dekhai k saanp ko maara hai to daleel hai k Dushman ko maglub kerai gai. Saanp ka gosht khaya hai to daleel hai utna dusman ka maal khaye ga aur khair aur khushi dekhai ga. Agar us ne saanp k 2 tukrai kiye to daleel hai k dushman se insaaf hasil kerai ga aur agar dono tukrai utha liye daleel hai dushman ka maal khaye ga.

Sanp agar us k sath maharbani se baat kerai to daleel hai k us ko darpesh ajeeb kaam hoga k us se shadi aur khushi dekhe ga. Aur agar saanp us k sath tandi aur tezi se baat ki hai daleel hai k dushman us per fateh paye ga aur agar Mara hua Sanp dekhai daleel hai k Haq Taala us se Shar aur fitna dur kerai ga aur us ko takleef na hogi.

Agar dekhai k Saanp us ka tabedaar hai daleel hai k Martaba aur Bazurgi paye ga. Agar dekhai k saanp se bhaga hai aur us ko pakar nahi saka to Dushman Zaef per daleel hai. Aur agar dekhai k Sabaz sanp hai daleel hai k dushman deendar aur Ba’Amanat hoga. Agr dusrai sanpo k ilawa Siaah sanp ko dekhai to Lashkar per daleel hai. Aur agar saanp Zard hai to bemar surat dushman per daleel hai.

Agar Surkh Dekhai to Muashrai aur Aish Pasand dushman per daleel hai. Agr dekhai saanp k bahot se pao hai daleel hai k is ka dushman qawi yani taqatwar aur dilawar hoga. Agar bahot se sanp aik jaga jama hai aur is ko tang kertai hai statai hai daleel hai k bahot se khawesh dushman hogai lekin un se Nusqsan na dekhe ga. Aur agar dekhai sanpo k seeng aur bahot se daant hai daleel hai k is ka dushman keena aur badkhaslat hoga.

Hazrat Jabir Magrabi Alai Rehma farmaya

agar dekhai k saanp is ki naak ya kaan ya pastaan ya peeshab pakhanai ki jaga se nikla hai daleel hai k us ka farzand us ka dushman hoga aur agar dekhai saanp munh se nikla hai daleel hai k wabaal e jaan baat kerai ga.

Hazrat Ismael Ashas Alai Rehma

ne farmaya k safaid sanp dekhna dushman ko dekhna hai aur siaah sanp sipahi hai aur agar dekhai k sanp se bhaga hai aur us ko saanp ne nahi dekha hai daleel hai k araam aur khushi paye ga aur agar dekhai k saanp ne us ko pakra hai aur dekh nahi dia daleel hai k bazurgi paye ga aur aman mai hoga.

Hazrat Khalid Asfahani Alai Rehma

ne farmaya hai k agar dekhai k sabz sanp ka matie hua hai daleel hai k khazana paye ga aur agar dekhai k is ki asteen se sanp nikla hai daleel hai k us ka farzand us ka dushman hoga.

Aur agar dekhai k us ne sanp ko mara hai aur us ka khoon apnai jism per mala hai daleel hai k dushman ka maal hasil kerai ga. Agar dekhai us ne apnai bistar per saanp mara hai daleel hai k us ki Aurat marai gi. Aur agar dekhai k sanp us ka giraibaan ya us k munh se nikal ker zameen mai ghusa hai daleel hai k Halaak hoga.

Hazrat Jaffar Sadiq Rehmatullah Alaih

ne farmaya k Khawab mai saanp ka dekhna 10 waja per hai 1. Taqat, 2. Zindgani, 3.Salamti, 4. Badshahi, 5. Sipa Salaar, 6. Aurat, 7.Daulat, 8. Maut, 9.Larka, 10. Sailaab.

Click here to Read More about Dreams

Join us on Social Media. Facebook | Twitter | Instagram

Click here to Visit our Video Website.
Click here to Visit our New Books Library.

Related Articles

73 Comments

  1. Aslamualaikum
    mn ny khuwaab mn dekha k ik kala saanp jo zyda bra ni ha wo mry trouser k payinchy k andr se dakhil hua ha r upri tang(thigh) py kat kr upr se nikl gya
    please isky bary btyn

    1. Walaikum Asalam. Ye Dushmano ki ap per nazar hona aur nuqsan pohachanai ki taraf ishara hai aur ye nuqsan izzat ko thais pohanchana bhi ho sakta hai. Is liye gair sharayi taluqaat aur gair mehramo se bhi dur rahai. Shariat ki pabandi kerai Allah azzawajal ap ki hifazat farmaye ga. Baki Allah o Rasool Behtar jantai hai.

  2. Assalamualaikum
    Maine khwab me dekha ek kal saanp h jiska halka aage se muh patla h but pichhe se bada h fridge se nikal rha h aur mere bed k pass aakar fun failaya h but mujhe kuchh nhi kiya main bed se uth kr chali gyi hu jb wapas aayi hu to gate pr baitha h

    1. Walaikum Asalam. Ye Dushmano ki taraf ishara hai jo ap se hasad kertai hai. Allah ki Naimato ka shukar kerai lekin dikhawa na kerai aur na hi takabur. Ajiz rahai aur naikia bhi chup ker kerai. Baki Allah azzawajal ap ki hifazat farmaye. Saqda bhi nikalti rahai. Baki Allah o Rasool Behtar jantai hai.

  3. asalam o alekum maine khuwab main apni khirki se saanp ko aate daikha or 1 bar ghar kay darwaze se wo peeche araha hai likin main us se bach jata hun.phir bara seenghe daikhe bht se jo ghar kay bahar jhund main ja rahe thay is ki tabeer bta skte hain ?

    1. Walaikum Asalam, Ye Garailu dushman per daleel hai. Baki baara seenge dekhna ache ki taraf ishara ho sakta hai Maali hawale se baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  4. Aslam u alaikum! Baazu per hath ka lipta hua dekhna. Saanp ka jism lipta hua hai. Lakin mu nazar ni aarha. Na hi wo mujhy koi nuqsan pohncha rha hai.

    1. Walaikum Asalam. Aisai khawab dushmano se related hi hotai hai aur Maali nuqsan ki taraf ishara ho sakta kisi posheeda dushman se. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  5. Assalamualikum! Main ny ghr main bht sary kaly rang k or peely rang k saanp dekhy .. jinhain dekh k main dar k bhag rhi hn mgr meri ami or bhai sanpon ko pkr rhy hain .. saanp bht ziada thy jesy barish horhi ho .

    1. Walaikum Asalam. Asai halaat mai sadqa de dena chahiye ziada clear tabeer nahi puchni chahiye kyu k hamari tabeer mai isharatan samaj tou ajati hai kis taraf ishara hai. Is liye Sadqa dai aur Sakun mai rahai is yaqeen e kamil k sath k Sadqa Balao ko talta hai. Baki Allah o Rasool Behtar jantai hai

  6. Mein ney khuwab mey apny left side pey bistr pey bara r mota sanp dekha hai jo k meri tarf muu kr k betha hai lekin wo mujhe dsta nai hai

    1. Dushmano ki nazro mai hai ap aur mokai ki talash hai bas un ko nuqsan pohanch sakta hai is liye alert raha kerai. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  7. Assalam o Alaikum
    me ne khwab mein dekha ke syaah saanp ghr mein ghoom raha hai sofa ke neeche aur bed ke pass aur me us se dr ke paaon ooper kr ke beth jaati hun kabhi is kamre mein kabhi us kamre mein chupti hun lekin wo saanp baar baar aa jata hai aur mjhe ruk ke dekhta hai lekin mjhe kaata nahi blke bs dekh ke idhr udhr ghoomta hai.

    1. Walaikum Asalam,

      Ye Garailu Dushmano ki ap per nazar honai per daleel hai is liye Shariat k dairai mai reh ker har kaam kerai koi nuqsan nahi pohancha sakai ga aur Allah o Rasool hi behtar jantai hai.

  8. Salam
    mene ajj suba takriban suba ke 4 baje ye khuab dekha me taya abu ke gar hu lekin place wo nehi hai ham waha hai jaha mera bachban guzra yahi spain me or taya abu mere pak me hothe hai or wo log waha se chale ge hai, or me shararat karne ke lihe kuch chize karab kar dethi hu, lekin phir meri mama wo sab thik kar dethi hai, lekin thik karthe kaarthe unko pek kaduo ki bel milthi hai, or uske sath bohat sabzia lagi hai, red tomatoes, shimla mirch, kadu, karela bengan takriban us ek bel me sari sabzia lagi thi, or iske sath hi ek fridge thi, uske uper ek mithi ka gara tha, mene jab usko uthara to usme ek kali bili or ek kala samp tha, us bili me us kam ko sara nigal lia, or mene uspar dubara dakan de kar me or meri mama ja rahe the, ke muhje awaz ahi je koy vimot kartha hai, jab me tori si piche je kar dekha to bili ne samp ko vomit kar dia or pher us samp ne muhje dekha or mujpar chalang lagi or wo ek dress ki sakal me bangea jese us ne muhje gale tak nigal lia ho or pher mene uskop chir dia, wo samp dress type mene chir ke utar dia or pher waha se chali gei hu please iski tabeer batha de

    1. Wasalam. Ye Aurto related hi larayi jagrai dushmano ki taraf ishara hai aur i will recommend k ap log apna sadqa de dai. Allah azzawajal asania peda farmaye. Aameen.

  9. As slm vkm
    Khwb mein dekha Ke sanp bada hain aur phann kholta hai aur Dur hai mere gali mein hai ghar Ke raaste per aur Ek dusra sanp mara paada hai gardan alag tabeer kya hai

    1. Walaikum Asalam. Ye Dushman ki taraf ishara hai aur bara khatarnak dushman jo ap ko target kerna chah raha hai. Lekin sath hi mara sanp dekhnai se murad hai k Allah azzawajal ap k dushman ko ap per haawi nahi honai dega. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  10. MN khuwab MN daikha KY mry bhai ksi school MN MN wahan jata hn to bhai khaity hn aa tujhy azdha daikhon jo bhot Bara ha MN dar kr bhaagta h dewar pr char jataa hn daikta hn aik saanp school ki dewar sy nikaalta ha Kala or safaid mix color MN dewar sy nikal kr bhaagta ha paani MN dewar ki dosri side pr paani hota ha chatri wala saanp usko daikh kr MN bhai ko khaita hn idhar saanp ha itny MN or saanp nazar aajty hn panni MN mry bhai or cousin inko marny lag jaty wahan mri ami paani sy wazoo kr rhi hoti ha MN ami ko wahan sy hatny ka khaita hn KY apky paon KY pas saanp ha mry bhai or cousin inko marny lag jaty hein jbky aik saanp mri ami KY paon ki ungli pr dasta ha MN ami ko ghussy MN khaita hn MN NY mana Kia Tha lar gya na saanp ami us saanp ko pakar kr pheenkty huy khaiti tu kha sy aagya chal or usko phek daiti ha. Ami ko jo saanp dasta usko color yaad ni or begair chatri KY hota ha

    1. Ap jantai hi hai k sanp Dushamno k hawalai se Ishara hai. Behtar hai Gharo mai larayi jagrai se dur hi rahai taa k sakun rahai. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  11. Mai nai khwab mai daika kee saanp hai our mery peet kai saat mazbootee sai chapsa hai, mai nai saanp ko apny haat mai pakra, our zameen par zoor sai geraya phir othaya out moon khola, our baree zoor kr raha hai mery hath mai our yee sooch rahaa hoo sanp ko kehty howy ke kia power hai aap aap kee leken mai nai qaboo kia. phir jab mai oppar peet ko dekha to sanp nai mujy dhansa deya tha our aab iss sooch mai hoo kee aab iss ka asar hooga ya nahee leken jahjan sanmp nai dahna tha woo saaf nazar a raha tha, lekek yee baat hai kee mai na sanmp koo mazbootee sai pakra tha our mery control mai tha.. our saat mai our bee bohat sanmp deky aisa lag raha tha kee dar rahy hai muj sai

  12. میں نے خواب میں اپنے بستر پر تین سبز سانپ دیکھے ۔ کسی نے مُجھے کوئی نُقصان نہیں پہنچایا۔تیسرے سانپ نے میری طرف دیکھ کر مُنہ کھولا۔میں خواب میں ہی بستر سے اُتر کر بستر جھاڑتا ہوں۔ اور سوچتا ہوں کہ سانپ کہاں سے آئے ۔ پھر میری آنکھ کھُل جاتی ہے

    1. Is ka zikar tabeer mai mojud hai, Ye Deendar aur BAA’AMANAT (AMANAT MAI KHAYANAT NA KERNAI WALA) Dushman ki taraf ishara hai. Mumkin hai karobari ya Nokari jaha kertai ho waha koi dushman ho agar khulam khula zahir dushman nahi. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  13. Mainy khuwab main dekha k mai aik swimming pool main hoti hn. Or dekhty he dekhtyy us main bht sary saanp k bachy ajaty hain. Hr size k..
    Main dar k bhaag k swimming pool ka pani nikaal detii hn. Or sary sanp naali main chly jaty hain. Mjy nuqsan ni hota..
    Kindly iska bta dain

    1. Ye Shar aur fitnai ki taraf ishara hai jis se ap mehfuz rahi. Larayi jagrai se kinara ker lai, Geebat chuglio se bachai kyu k shar fitna ki jar 90 percent yehi hoti hai. Baki Allah o Rasool Behtar jantai hai

  14. A.s bhai mene khuwab me dekha he mera dost mujhe ek jagah pe leke gaya he waha gupha me ek black sanp he mera dost usy kehta he mere dost ki madad karo usy paise chahiye phir wo sanp humhe boht deta he mera dost andar hath dal ke sab kuch utha ke mujhe deta he end me ek cheez rehti he wo cheez utha ne ke liye jese andar hath dalta he sanp usy kat deta he me apne dost ko hospital leke jata hu dr kehte he isy kuch nhi hi hua

    1. WS. Ye kisi partnership se faida ki taraf ishara lag raha hai lekin Lalach se bachai aur jama kernai se bhi bas aisa intezam rakhai k jitni zarurat ho mil jaya kerai Aur Allah ki raah mai b kharch kerai. Haram se bachai taa k barkato ka nazool ho. Baki Allah o Rasool Behtar jantai hai.

  15. Salaam , meri wife ne aj khwab me dawat dekhi, dawat me ek khanay k bartan me se 4 5 safaid saanp , mu khol kar niklay n bhaag k chup gaye, … Us ne shor machaya n sub ne dhoonda par wo saanp nahi milay…

    Wazahat karden
    Shukria

    1. Wasalam. Ye Gharailu dushmano ki taraf hi daleel hai jo maali hawalai se nuqsan pohancha saktai kyu k rizq se niklai hai. Baki Allah o Rasool Behtar jantai hai.

      1. M ny khwab m pehly shairo ko ghoorty huai dekha jungle m jis sy m drta hu lekin woh mery pas sy guzr jaty hai us k bad hum dar kr ik jgh ja kr chupty m aur mery dost wha sy mera dost kisi supyry ka nam leta to m khwab m ik dm us k ghar chla jata kab wha jata to woh sanpo sy khell rha hota us k bachy b m sofa pr bethta m dekh rha hota ik bara sanp deewar pr ik dusty sanp ko kha rha hota itny m ik kala sanp sofa k peechy sy sanp nikll kr ata jis sy m drta pr woh mery bazu pr ghumta otny m ik dam woh attack krny laga hota to supyra mujhy awaz lgata m side py ho jata is khawab ki plz tabeer btai

        1. Ye Kisi nizam mai dushmano ki taraf ishara hai jo ap se taqatwar hai. Yeh business, studies ya kisi bhi muamlai mai ho sakta hai jis mai ap kaam ker rahai ho isi liye Ustad ya guide jo b ho us ka ahtaram kerai aur guidance hasil kerai In sha Allah behtari hogi. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  16. Ma or mera dost koi kam kar rahy hotyhain waha hum 1 sanp daikhty hain mera dost sanmp ko pkar kar 1 room kay farsh par chor daita ha os ma paani jama hota ha os room ma or samp ziada paani ki waja swim karta or bahir nai ata achanak say wo waha say nikal kar mery thumb par das daita ha or os kay bad hum kisi molvie kay pass jaty hain to wo zoor say mery hath ko bandh daita ha lkn samp ka asar dekhai dainy lagta ha hath pay white hona shuro ho jata ha hath .. jis paani ma samp ko chorty hain wo full clean hota ha or samp black hota ha

    1. Ye kisi Sarkari bandai se ap ki koi dushmani lagti hai jis ka nuqsan hoga kyu k saanp ne kaat lia hai. Agar aisa koi official issue hai to koshish kerai aman se us ko suljaye. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

      1. Main nay khwaab main nay apnay abbu ko hamaray flower pot say aik chota kala dark brown patla chota sa saanp nikaltay howay dekhay aur main foran kamray main dar kar bhaag gayi…table par beth kar darnay lgi..tabhi wo saanp bhi peechay anay lga meray to abbu nay darwaza band kardiya aur wo phans gya darwazay main aur phir meray par phankarnay lga aur main darti howi bethi rhi table par

        1. Ghar mai hi nikla flower pot to garailu dushman ki taraf daleel hai aur Walid sahib ne bacha lia. Mukhtasir ye b mashwara k bahir walo se ziada ghar walo pai yaqeen kerai aur un ki baatai maanai taa k dushmano k waaro se bach sakai. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  17. Salam! mene khwab me dekha k ak halke sabz ( light green) rang ka saanp hai or wo hamare ghar k darwaze k sath a do money plant rakhy hain on pe hai me ose dekh kar ye souch rahi hun k ye hare rang ka hai, our phir khwab khatam hojata hai.
    ( me isi pehle bhi hare rang ka saanp dekh chuki hun khwab me. wo Dark green color ka tha our mene osse bare se talwar se mar deya tha )

    1. Wasalam. Ye BAA-AMANAT aur Deendar Dushman ki taraf ishara hai. Is liye Khud bhi Shariat ki paband ho jaye aur Allah ko raazi ker lai phir aisai dushman nuqsan nahi de saktai. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  18. Assalam o Alaikum, mainy khuwab daikha k hamari zameen main aik jangli toot ka darakht ha kaaly rang ka asdha us k sath lipta ha main kuch faasly pay khara hn meri nazar saanp py pari to wo b mje daikh rha tha itny main ankh khul gyi.
    Kindly tabeer k sath hal b bta dijie ga.

    1. Walaikum Asalam. Ye Khawab Maali hawalai se lagta hai aur toot ka darakht bhi maal ki taraf ishara aur sanp aisa dushman jo nuqsan pohanchana chahta hai. Agar koi karobar kerai to shariat k taqazai purai bhi kerai aur shariat ki pabandi se kerai taa k nuqsan se bachai aur haram se bhi bachai k dushman is se haawi hota hai aur Allah ki nafarmani kabi kisi ko faida nahi pohanchati. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  19. maery Choty bhai ny ghar ki galry my sanp dykha my waha gya sanp chup gya many bhai sy pocha kis colour ka hy usny kha green hy phr mera dosra bhai bhi galry my agaya mny choty bhai sy kha bhar jao my maroga isko wo bhar nhi gya phr many room ka darwaza band kar waya ky sanp kahi under na chaly jaye and bhaiyo sy kaha kuch ly lo usko marny ky liye ausa na ho ky jb my usko niklo marny ky liye so halma kry . phr ankh khul gi

    1. Ye garailu dushman ki taraf daleel hai. Filhal to hoshyar rehnai ki taraf ishara hai aur agar ap bakio se samajdar hai un k taluqat jin se hai un per bhi nazar rakhai kyu k dushman kayi tariqo se nuqsan pohancha sakta. Apne bhaiyo ko bhi Shariat ki pabandi ki taraf laye aur khud bhi shariat k paband ho. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  20. Assalam u alaikum ,
    Mane khawab mei dekha k ghar mei eik niola ha use bhaga dety hain sab , par mei usy wapis le ata hu lekin qareeb nae jata ar dur he rehta hu, wo mere peechy chalta chalta aa jata ha , lekin wo b sab se dur dur rehta ha darta rehta ha , ar muje nae pta hota k ye niola ha , phir mere walid sahab aty hain ar aa k nioly ka puchty hain to mei kehta hu k wo niola to nae ha , to wo muje btaty hain ye niola ha ,, phr hum usy ghar se nikalny lgty hain ar meri ankh khul jati ha

    1. Walaikum Asalam. Newla – Neola Khawab mai 3 waja per ho sakta hai. Hazrat Jaffar Sadiq Alai Rehma farmatai hai 1. Chor 2. Gham o Pareshani 3. Bemari. Aj kal Corona hai to ahtayat kerai taa k ap anjanai mai Neola ghar na lai aye. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  21. Asalam u alaikum..main ny khawb main dekha k main apni ammi k ghar jaa rahi hoti hon aur chota sa kaala sanp mery prechy ata hai jis ko main paon sy kuchal deti hon aur uska khon laal rang ka zameen py lag jata hai aur zameen py pehly sy b boht sy choty sanp aur un k khon k nishan hoty hn…jo k main ny hi maary hoty hn itny main ek aur chota kala sanp mery peechy ata hai aur mery bhagny py wo b taiz bhgata hai main usko marti hon aur uska b khon nikltta hai mgr mujhy shak hota hai kahin wo mery paon py charh tou nahi gya itny main meri ammi aur mery abu(faut ho chuky hn)aa k mujhy pyar krty hn k hmari bachi kk ye tang kr rahy hn….aur mery ammi k ghar k samny boht sy sanp mary hoty hn aur khon k nishan hoty hn..plz tabeer btYe ga jazakAllah

    1. Walaikum Asalam. Ye Acha khawab hai aur apne Dushmano pai ap fateh aye gi ya un ko magloob yani farmabardar kerai gi. Baki dunia hai yeh Jannat nahi pareshania ati hai un ka datt k samna kerai In sha Allah kamyabi hogi. Allah azzawajal sabar kernai walo k sath hai. Baki Allah o Rasool asaania peda farmaye.

  22. Maine khawab me ek bhut bada saanp dekha hai apne ghar me.. wo ek pet hai matlab kisi ko harm nhi karega aur mai uski care kar thi aur usse khana de rahi thi. But saanp ne khawab me kuch nuksan nhi kiya hai mjhy. Please reply.
    Thank You

    1. Khawab mai saanp dushman hi hota hai nuqsan dai ya na dai. Agar hum ap k khawab ko is tarah lai k saanp ap ka tabedar – Farmabardar hai to ye Martaba aur bazurgi panai ki daleel hoti hai. Yani naiki ki taraf jaye gi aur us ka ajar bhi milai ga. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  23. plz mjy bhi bakio ki trah zrur answer dijiay ga ,

    mai n khwab mai dekha k mai washroom mai hu flush pe bethi hu , achanak flush ki side se mjy halka muu bahar ata nazr ata hai mjy lgta hai k koi chipkli hai or mai ak dam se flush se pechy hat jati hu , ak chota sa washrm hai bohtt chota sa , us m ak flush k agy ki trf or pechy khali jaga hai tqrebn 2 feet ki , or mai waha pechy beth gai zmeen pe bohttt dri hui hu , dewar k sath lgi hu achanak wo jo chhipkli ka muu lag rha hota hai wo muu kholta hai or kholta e jata hai or uska muu bra hota jarha tha itna kholi ja rha tha khulta ja rha tha bohttt mota tqrebn 4 inch mota saanp tha or kanty thy bohtt moty keel jesy us pe or lamba wo 2 feet ka hoga shyd , or wo Z position m betha tha or uska phan ‫ ni tha (پھن )

    or phr mery qreb aya wo or mai puri dewar k sath lgi the zameen pe beth k or uska muu bohttt bara khulta tha , or mai n usko drty drty apny hath se pechy kia , or bech ka mjy yad nai lkin end pe wo ak guttr m chala gya or mai n us pe dhakan de k bnd krdia wo dhakan halka sa side hua to wo sanp usi m tha or mai n usko pura cover krdia dhakan se , or tasali di khud ko k ab m safe hu

    1. Upar ap ne parh to lia hoga k saanp dushman related khawab hota hai. Mazeed agar hum wazeh kerai to ye dushman ap ka maali hawalai se ho sakta hai jo hasad kerta ho Ya to karobari hawalai se koi dushman. Is liye maali hawalai se dikhawa nahi kerna chaiye yani koi order agaya ya bahot pesa hai to logo ko dikhawa na kerai. Us maal se Allah ki raah mai kharch kerai aur sadqa bhi nikalai aur Allah ka shukar kerai aur logo se chupa k rakhai. Haram se bhi bachai. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  24. Mery husband ny khawb ny dekha k mery galy ko means wife k galy ko sanp na jakra hua ha wo hat nhi rha aiska kia matlb ha

    1. Ye Dushman related khawab hi hotai hai k koi dushman nuqsan pohanchana chahta hai aur dekhne walai k liye warning hoti hai. Is ko ap garailu dushmani larayi jagrai wala muamla samaj saktai hai yani dushman ki chahat shaid aisi ho. Baki Allah O Rasool behtar jantai hai.

  25. Aoa main apny 2 khwab ki tabeer janna chahti hoon phla y k main n apny ghr main apny jism par bht c choty kaly rang k sanp chalty daikhy t as takreebna hath par ziada o main unhain phaikhny ki koshish kr ri hoon mgr ni kr pa ri or y b sochti hoon y katain gy ni.
    Doosra y k apny ghr main e aik yellow or orange mtlb 2 rang ka sanb daikha jo k tangon wala hota mgr tangain(legs) ni daikhi main or mairi poori family usay pkrny ki koshish krti h mgr ni pkr pa ri

    1. Woa, Ye Dushmano k hawalai se ishara hai aur is ki tabeer pehle hi tabeer mai mojud thi.Pehle aur dusrai hisai mai ghar mai sanp se muraad gharailu dushman yani jaan pehchaan wala dushman. Behtar yehi hai k sadqa dai aur hoshyar rahai baki Allah o Rasool behtar jantai aur ap ki Hifazat farmaye. Aameen.

  26. Maine sapna dekha ki mere waalid dukaan par doodh lene gye jaise hi jhuke to ek saanp ne ek aadmi to nigal liya aur bhagne laga maine danda uthaya aur thodi dur bhagne k baad usko peetna shuru kar diya to usne us aadmi to bahar nikaal diya aur bhaag gya

    1. Ye Dushman ki taraf hi ishara hota hai. Jis mai ap ne bacha to lia lekin nuqsan to hua. Baki wazeh hum nahi bayan ker rahai sirf ishara samaj lai. Dushmani aur larayi jagrai se bachai aur dushman jo hai un se chokana rahai. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

  27. Khwab me dekha k me leta hota hu or ik dam se uth jata hu 2 baray saanp arahe hte hai n 1 chota saanp, lekin unko dekh k ye lg rha hota hai k wo apne rastay pe ja rhe hte hai mjh se koi wasta ni rkhte lekin phir b me dusre room ki trf dorta hu bhai ko awaz dene k liye unko marne k liye, bhai ko fikr ni hoti or istara khwab khatam

    1. Saanp related khawabo ki tabeer to ap parh saktai hai agar specifically ap ki tabeer ki baat kerai to pareshani wali koi baat nahi. Baaz okaat jinat bhi is tarah khawab mai aakar dara detai hai baki guzar gaye to janai dai bas 🙂 Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

      1. Asalam u alykum. Mene khuwab mae dekha k mae ek bazar mae kahara hu or ek bacha sanp k galy mae kuch phasa ha wo nikalny ki koshish kr raha ha or sanp nichy se safaid ha or uper se pelaa ya ya green ya yaad nahi or mae dekh raha hu usy phr achanak se wo sanp nichy girta ha or mere guthny pa kat leta ha mujy to mae zor se apni tang daba deta hu tu ek banda bolta ha k is ko wo wali dawa laga do itny mae mere baba aty hain or mere samny khary huty hain puchtain hain kia hua mae batata hu tu wo mujy dekh k muskura rahy huty hain phr mae us bandy ko zor se bolta hu dawa laga b do wo mujy jahan sanp ne kata bhta ha wahan pa daaa lagta ha or us daaa ki khushbo ethar ki traha huti ha phr wo bolta ha kuch nahi hu ga ab bs.

        1. Walaikum Asalam. Ye ishara is tarah lagta hai k ap shaid Ghar walo se ziada jese waldain bahir walo pai yaqeen kertai ho. Yaad rakhai ghar walai acha hi sochtai hai agar wo kisi chiz se mana kertai hai to bachna hi chaiye. Ghar walai nahi lekin bahir walai nuqsan de saktai hai aur us k baad phir sahara ghar walai hi banai gai. Ye Nuqsan kisi tarah ka bhi ho sakta hai aur ishara mil gaya to koshish kerai Gair Sharai muamlaat se bhi bachai aur galat kamo se bhi. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

        2. Assalam o Alikum … sir mene ye khwab dekha ha k ma apni nani ami k sath apny purany ghar betha hota hn bahr sehen me charpai pr or samny amrood ka darakht pr sanp nazar ata ha ….
          J

          1. Walaikum Asalam. Ye Garailu dushman ki taraf ishara hai. Jo ap ko Maali hawalai se ya garailu hawale se nuqsan pohanchana chahta hai. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

    1. Ye Deen ki taraf ragbat ki taraf ishara hai agar Gunaho mai Mubtala hai to tauba ki taraf jaye gi. Yani is ki tabeer behtari hi hai aur tabdeeli ka ishara hai. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai

  28. Assalam u alaikum, janab mane khawab mei dekha k mery rasty mei eik sanp aata ha ( thek se yad nae shayd peela rang ka tha ya phr kaala tha ya phr ye dono color mix thy) wo sanp muj se lipat jata ha lekin mei usy paao ki thokar se dur phenk deta hu . Is k sath he meri ankh khul gae ar ye fajar ka waqt tha ar azan ho rhi thi.

    1. Walaikum Asalam. Ye Poshida dushman ki taraf hi ishara hota hai tabeer to is ki mojud hai ap parh lai baki Allah behtar kerai ga thokar ap ne maar di bachat ho jaye gi ya ignore ker dai gai. BakI Allah o Rasool behtar jantai hai.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button

Adblock Detected

Please Remove our Site from Ad Blocker or Dsiable it and Support Us.