Ahl e Sunnat Wa JamaatDeobandiWahabi-Salafi

Hazur ﷺ ki Misal (Un Ki Tarah) Koi Nahi. Ayat e Kahf 110 ka asaan sa jawab (R.Urdu)

Hazur ﷺ ki Misal Koi bhi nahi.

Quran e Majeed me beshumar Ayaat e Karima ha jin me Kufaar ne Anbia AlaihiSalam ko Apni tarah Bashar kaha aur Ap ﷺ ka bhi bemisal hone ka sabut mojud ha un me se aik aik ayat pesh keruga Ta k Log is note ko mukamal parhle warna aaj hamara paas ganto ki filme dekhna ka time nikal ata ha Islami note parhna ka nahi chahe 5 mins lagte ho. Quran e Majeed

Sura Noor ayat 63: Rasool Allah ﷺ k pukarna ko apas me aisa na thahra Lo Jesa tum me aik Dusre ko Pukarta ho.

Tashreeh: Is Ayat e Karima me Aam Bashar aur Nabi K Sath Kalam kerna me wazeh faraq bayan kia gaya ha k Jis Tarah Aam Insaan ko Apne Jesa Bashar Jaan ker use Bara Bhai wagaira keh ker pukarta ho. Rasul ﷺ ko is tarah mat pukaro kyu k Rasul ﷺ aam bashar ya Mahaz Bashar nahi Rasul ﷺ aur Aam bashar me Bahot faraq ha. Aur Rasool ﷺ ko apni tarah bashar kehna Kuffar ki adat ha.

Sura Hood Ayat 27: To us ki Qom k Sardar jo Kafir hue the Bole hum to tumhe apne hi jesa Aadmi (Bashar) Dekhta ha.

Aitraz: Quran e Majeed me Ayat e Karima Sura Kahf 110 me aya ha “Tum farmao Zahir Surat e Bashri me To me Tum Jesa hu”

Jawab: Is ayat e Karima k tahat Badmazhab log kehta ha k Aqa ﷺ hamari tarah bashar hue lekin Quran k asoolo se ye log bilqul na waqif ha aur kufaar k amaal ko apna rahe ha. Tafaseer ki taraf hum nahi jaate aur sirf abi note chota rakhna k liye Badmazhabo se ye puche ga k Jab Anbia Alaisalam Ba Tareeqe Tawazeh Kalam kera to kia us ummati ko bhi wo Kalam dohrane ki ijazat ha agar Najdio ka jawab ha ha to phir Hazrat Adam AlaiSalam ki Dua

Sura Al A’araf Ayat no 23: Ai Hamare Parwadigaar hum ne apni Jano per Zulam kia.

Ab Hazrat Adam AlaiSalam ko Zalim kehna ki himmat ha kisi Najdi me aur agar keh de to Kafir….. Umeed ha samaj gaye hoga. Ab Hadees e Mubarka jin ko yaqninan Najdi bhi manta ha.

*** Hazrat Abu Hurera RadiAllah Anho se Marwi ha Unho ne Farmaya k Sarkar e Aqdas ﷺ ne raat din Pe Dar Pe (Yaani Raat or din dono waqt) Roza Rakhna se mana farmaya to Aik Shakhs ne Hazur ﷺ se Arz kia Ya Rasool Allahﷺ! Ap ﷺ to Raat Din Pe Dar Pe Roza Rakhta ha. Hazur ﷺ ne farmaya k Mere MISAL (MERE JESA) Tum me Kon ha? Beshak Me Is haal me Raat Guzarta hu k Mera Parwardigaar muje khilata ha.
(Bukhari Shareef: Page 263, Jild 1 & Muslim Shareef Page 352 Jild 1 and Mishkaat Shareef Page 175) Original Arabic Versions.

Hazrat Imam Nawawi Rahmatullah Alai farmata ha Hazur ﷺ k qol ka matlab ye ha k Khudaye Taala Muje wo Taqat deta ha jo Auro ko Kha pee ker hasil hoti ha (Nawawi Ma’a Muslim Page 351 Jild 1)

*** Hazrat Ibn e Umar RadiAllah Anho se Riwayat ha k Rasool Kareem ﷺ ne Maahe Ramzan me Raat Din Pe Dar Pe Roza rakha to logo ne bhi raat din pe dar pe roza rakha to Hazur ﷺ ne logo ko aisa kerna se mana farmaya_ Arz kia gaya Hazur ﷺto raat din pe dar pe Roza Rakhta ha. Sarkar ﷺ ne farmaya me tumare Misal nahi hu me Khilaya aur pilaya jata hu.
(Muslim Page 351 Jild 1.)

Umeed ha ab Badmazhab Sharam kera ga aur is Mukhtasir se note se apne Bugaz o kufaar jesa Aqeeda aur Ashiqan e Rasool ﷺ k Aqeeda me gaur o fikar ker k Haq ki taraf aye ga. Ye note chota rakha gaya ta k log is ko parhe warna ye Mozu bahot bara ha aur Beshumar Ayaat e Karima aur Ahadees hum pesh ker sakta ha. Ye note share b kera aur Koi Galti Kotaahi hui ho to agaah farma de.

Click here to read more Articles on Beliefs

Join us on Social Media. Facebook | Twitter | Instagram

Click here to Visit our Video Website.
Click here to Visit our New Books Library

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button

Adblock Detected

Please Remove our Site from Ad Blocker or Dsiable it and Support Us.
yalova evden eve nakliyatsakarya evden eve nakliyattuzla evden eve nakliyatgebze nakliyatyalova evden eve nakliyatsakarya evden eve nakliyattuzla evden eve nakliyatgebze nakliyat
Sweet bonanza demoAviator oynaCasinoslotgates of olympus oynasweet bonanzasugar rush oynasweet bonanza oynaCasinoslotBahisnowcasibomSweet bonanza demoAviator oynaCasinoslotgates of olympus oynasweet bonanzasugar rush oynasweet bonanza oynaCasinoslotBahisnowcasibom