Aqaid - BeliefsI.NewsMinhaji

Muslims ko Divide karne ka full Plan (AIUMB)

Indian PM Narendra Modi tasawwuf ko politically use karna chahte hain, kya sangh family (RSS/Bajrangdal/vishwa hindu parisad/BJP/Hindu Mahasabha baghairah) sufism ke bahane musalamanon me foot dalne me lage hue hain? aakhir inko sufiyon par pyar kyun aane laga jinke bare me ye hamesha Negative thoughts hi rakhte hain| aakhir Modi govt. ki support se 4 dini international sufi conference ka maqsad kya hai? is conference se BJP (sangh family/parivar) kya fayda uthana chahti hai? is tarah ke sawal un sabhi logon ke dilo dimagh me uth rahe hain jo ye sunte hain ki Modi govt. ke support se International sufi conference ki taiyyariyan puri ho chuki hain| aur govt. hi nahin balki BJP aur Sangh se bhi ise support mil raha hai, Sangh parivar/family ka tasawwuf aur Sufism se pyar aisa hi hai jaise Shaitan aayatul kursi ki fazilat bayan kare, iske liye musalamanon ke kuchh chehre halanki samne rakhe gaye hain magar poora sangh parivar iski success ke liye raat din ek kiye hue hai|

17-20 march 2016 ke dauran hone wale is conference ke liye Delhi me Vigyan Bhawan/Science museum, Indian Islamic Cultural Centre (IICC) aur Raam Lila Maidan ki booking ho chuki hai, duniya ke lagbhag 40 countries se mehmanon ko bulaya ja raha hai jiske rahne khane ke liye Delhi ke five stars hotels ko book kiya ja chuka hai, reports ke mutabiq india ki qarib 600 dargahon ke sajjada nasheenon, mutwalliyon aur criminals ko invite kiya gaya hai, iske alawa saikdon islamic madarson ke teachers, scholars ko bhi bulaya ja raha hai, koshish hai ki is conference me lakhon ki tadaat me musalmaan bhi shirkat karen, yah baat alag hai ki inme se zyadatar ko is sachchai se andhere me rakha gaya hai ki is Conference ke peechhe Modi Govt. hai

Yun to ba zahir iska intezam AIUMB (All India Ulema Mashaikh Board) karwa raha hai magar iski nigrani me khud prime minister Modi lage hue hain aur iska theek se arrangement karne ke liye Govt. ne iski zimmedari Khufiya Bureau(Secret Service) ke retired Chief Aasif Ibrahim ko di hui hai, Aasif Ibrahim Modi ke advisor bhi hain, halanki is conference ke liye Maulana Sayed Mohammad Ashraf Kichauchhvi ko samne rakha gaya hai jo Ulema Mashaikh Board (AIUMB) ke president bhi hai aur kuchh time pahle Prime Ministyer Narendra Modi se ek delegate ke sath Personal meetings bhi kar chuke hain, jiski Khabar Media me bhi aayi thee|

is conference ke peechhe Modi Govt hai ye sachchai ab khulkar samne aa chuki hai aur is sachchai se khud Maulana Ashraf Kichauchhvi ko bhi koi inkar nahin hai, pichhle dinon ek english magazine “outlook” me ek story publish hui jiske sath interview me unhon ne mana ki unki conference ko Modi Govt. ki support hasil hai aur ye bhi mana ki iski nigrani Modi ke advisor mr Aasif Ibrahim kar rahe hain|

report ke mutabiq is conference ki iftitah (inauguration) khud Modi 17 March ko Science Bhawan me karenge, ye jankari bhi mili hai ki taiyyariyon me ab tak 50 lakh se zyada rupay kharch kiye ja chuke hain jabki kul budget Millions me hai, is conference me shamil hone ke liye sirf Sunni Bareilvy (So Called infact only Govt Paid Khanqahi) ko hi bulaya ja raha hai, shuru me is conference ko lekar kafi achchha mahaul tha magar jaise jaise logon ko pata chal raha hai ki conference ke peechhe Modi Govt. hai to ab log kanni katne lage hain, Daragaah Khwaja Muinuddin Chishti (ajmer Sharif) ke diwan saiyyad jainul aabidin ali khan ne is conference me bhag lene se mana kar diya hai, unka manna hai ki ye Sufi Conefernce nahin balki ek Political conefrence hai aur ye Sunniyon ko ek karne ke liye nahin balki Sunniyon ko divide karne ke liye kiya ja raha hai (Divide & Rule policy), isi tarah Dargaah Hazarat Salim Chishti (Fatehpuri) ke sajjada nashin pirzada Rais Miyan Chishti bhi isme sharik nahin ho rahe hain hai, unka kahna hai ki wo kisi bhi Govt. program me sharik nahin hote hain, Shri Lanka se Hafiz Ehsan Qadri sahab ne to AIUMB walon ke jhooth ka parda faash hi karke rakh diya hai jo AIUMB walon ne Dr Tahirul Qadri k ta’alluk se bola tha, iske alawa aur bhi kai Famous Daragahon ke sajjada Nashin aur Ulema is conference me aane se parhez kar rahe hain, halanki iske bawajood conference ki taiyyaariyan zoron par hain aur kai log din raat conference ki taiyyariyon me lage hue hain (aakhir hon kyun na ab 50 lakh ka hisab bhi to dena hai aur oopar se Modi Govt ki izzat ka sawal hai, ab ye baat alag hai ki sangh pariwar ke log is conference me croud badhane ke liye aayen jaisa ki Modi ki raliyon me hota hai) |

is beech andar ki khabar yah bhi hai ki paise ke len den me gadbadi ki wajah se andoorini tifarqa bhi phail gaya hai, jinko paise nahin mile hain woh ab iske khilaf logon ko bhadkane ka kaam kar rahe hain|

Sufiyon ka Political game

pichhle dinon Prime Minister Narendra Modi ne apne kai statements me sufism ki tareef ki aur kaha ki sufi islam terrorism ke khilaf hai, unhon ne is par pahle “Man Ki Baat” topic se radio par discussion kiya iske baad unhon ne London me bhi isi tarah ka bayan diya tha, agar modi ko haqiqat me sufism pasand aa gaya hai to woh iske publication ke liye kai important decision le sakte the, maslan use schoolon ke syllabus me shamil karte, is par research ke liye universityies banayi jati. cultural ministry se is par seminar arrange karaye ja sakte the, iske publication ke liye fund arrange karke koi publication banaya ja sakta tha magar unhon ne aisa nahin kiya (shayad aur badi authority se is baat ki ijazat nahin hogi) balki apne political explotation ka rasta apnaya aur bhole bhale Muslims ko phansane ke liye Dadhi Topi walon aur Dargahon se jude logon ko hire kiya jise kisi bhi tarah se sahih nahin kaha ja sakta, kya woh is conference ki wajah se usi raste par nahin ja rahe jiske liye woh Congress ko koste rahte hain?

Magar International Sufi Conference ka game sirf itna hi nahin hai balki isse bahut aage hai aur is khel ko ab aam musalmaan bhi samajhne lage hain asal masla Musalmanon ke andar Firqa wariyat ko badhawa dena hai aur ye koi nai baat nahin hai magar Sangh Parivar ka game ab ise aur zyada badhawa dena hai|

is conference ke liye sirf sunni bareilvy kahalane wale musalmanon (Jabki in sufi conference walon ka sunni Bareilvy se koi lena nahin hai) ko target kiya ja raha hai kunki yeh tabqa India me sabse zyada bada uar aabaadi ke hisab se taqatwar hai, chahe khud ko Bareilvy kahen ya na kahen magar daragahon se inka lagaw hai aur Daragahon par jate hain aur Sufiya e kiram ki izzat karte hain aur isi baat ka fayda utha kar deobandi, ahle hadis aur shia musalmanon se bilkul alag karne ka plan hai|

Delhi aur Bihar ke Assembly elections me sabhi musalmanon ne puri shiddat ke sath BJP ko oppose kiya tha jiski wajah se BJP ki sharmnak shikast hui, ab Sangh PArivar ka khel hai ki Bareilvy Musalmanon ko aam musalmanon se alag kiya jaye taki iska politically fayda uthaya ja sake, agle kuchh mahinon ke andar hone wale 5 state me BJP ko iska fayda mil sake| halanki jo problems Indian muslims ki hai wahi problems Bareilvy muslims ki bhi hain aur jis tarah se aam musalman Sangh Parivar se nafrat karta hai usi tarah se Bareivy kahlanae musalman bhi sangh se nafrat karte hain aur Sangh parivar ko Musalmanon aur Islam ka dushman samajhta hai|

Gujrat ke dangon me musalmanon ko ye poochh poochh kar nahin mara gaya tha ki kaun Bareilvy hai aur kuan doosra musalman|
Narendra Modi ke Gujrat ke chief minister rahte hue jin begunahon ko farzi muthbhed (fake encounter) me mara gaya tha, unse firqa nahin poochha gaya tha, Aligarh Muslim University aur Jamia Millia Islamia ke Minority Status ke khatm hone se jo nuksan hoga wo kisi ek group ke musalmanon ka nahin hoga| qabile dhyan yah pahlu hai ki Narendra Modi ek taraf Muslalmanon ke schools/instutions par hamle karke unki reedh/backbone tod dena chahte hain wahin doosri taraf taraf unhen achanak sufism se hamdardi ho gayi hai| agar unhen sufism achchha lagta hai to sabse pahle apna resignation se den aur phir uski Fundamental baton ya’ni Tauheed, Trust, Modesty aur Self Purification ko accept kar len, magar is par politics ka kya matlab hai?
yahan ek purani baat ka zikr karna zaroori hai ki jab Babri Masjid ko Shaheed karne ke baad Us waqt ke prime minister PV Narsimha rao ne kuchh bareilvy Maulviyon ko pakda tha aur wahi khel khelne ki koshish ki thee jo aaj Modi Govt. khel rahi hai, Rao ne musalmanon ke ek bade tabqe kom khush karne ke maqsad se Aala Hazrat Imam Agmad Raza Rahmatullahi Alayhi ke naam par post office ticket jari karne ka ailan kiya aur isliye wo Dargaah par aane wale the, is khabar ke aam hote hi yahan ke musalmanon ne Dargah ko gher liya aur tab tak ‘La Haula wala quwwata” ka vird karte rahe jab tak ki Rao ke bareilly se chale jane ki khabar nahin aa gayi, Ghaur talab hai ki Rao ne Kanpur pahunchkar ticket jari kiya tha, is baat se ye to clear hoa hai ki kuchh Bikau Maulviyon ke sarkaar ke hath bik jane se aam Musalmanon ki soch me koi farq nahin aata, aaj country ke log itne bewakoof nahin hain ki kuchh Dastaar wale use jis taraf chahe haank den,

Sangh Pariwar ko Sufiya se pyar kyon?

isme koi shak nahin ki sufiya e kiran ki pyar bhari taleem insan ko insan ka bhai banati hai magar isi ke sath ye bhi sach hai ki sangh pariwar Sufism ke bhi khilaf raha hai, uska manna hai ki in sufiyon ne India me Islam ka deepak jalaya aur hinduon ko musalmaan banaya, agar ye sufi na hote to kashmir ki majority musalmaan na hoti, vishwa hindu parishad ne hamesha kaha hai ki Dargaah Khwaja Muinuddin Chishti, Dargaah Haji Malang baghairah india ke saikdon Dargahen mandiron ko todkar banai gayi hain,

Prime minister bhi isi sangh parivar se hain aur RSS ke Propagandist rah chuke hain, ab aise me agar unhen Sufiya se achanak sympathy hone lage to doubt ka hona lazim hai…

Is bare me aur zyada janne ke liye is link ko visit karen: http://haqbaat.com/sufi-conference-exposed-by-allama-yasin-akhtar-misbahi-qarul-qalam-new-delhi/

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button

Adblock Detected

Please Remove our Site from Ad Blocker or Dsiable it and Support Us.