Minhaji

Dr Tahir ul Qadri se Hindustan k Ulema e Ahle Sunnat k 9 Sawal

Dr Tahir ul Qadri se Hindustan k Ulema e Ahle Sunnat k 9 Sawal

Janab Dr.Tahir ul Qadri Sahib! Assalamu A’laa Min Atba Al Huda.

Ap k Mutadad (Beshumar) Kutab aur Khutbaat o Biyanaat sunne me aye, Jin me Bahot si baate Aqaid e Ahle Sunat wa Jamaat aur Quran o Hadees k Irshadaat k Sareeh Khilaf ha, Chonka ap tahreer o taqreer me Ahle Sunnat wa Jamaat Aur Maslak e Ala Hazrat ka Naam Leta ha aur apne Bayanat se Apna Sunni hona zahir kerta ha, Bal k Aqeeda e Shifa’at aur Aqida Ilm e gaib wagaira per mustaqil kitaab bhi likh chuke ha.

Ulema e Ahle Sunnat ap k do (2) tarfa tahreer o taqreer se sakht Iztirab me ha , Bare Bana Ap k Bunyadi Aqaid aur Dini Moqaf ko janna chahta ha, Chonacha ap se chand sawaaat k tasali bakhsh jawabaat matlub ha, Umeed ha k ap un k jawabaat de ker apne aitqaadi mokaf ki mukamal wazahat kera ga, aur Ikhtalaf o Inteshar ka Mohol Khatam kerna me Mua’wan hoga.

((( ULEMA E AHL E SUNNAT WA JAMAAT)

1. Aj dunia bhar me Banaam Muslim Jitne firqa paye jate ha, Ap k Nazdeek un k darmayan Aqeeda ka Ikhtalaf ha ya Sirf Farui Ikhtaf ha?

2. Ahl e Sunnat Wa Jamaat k Ilawa jo firqa Banaam Muslim mojud ha, un me Qadiani, wahabi, deobandi aur Rafzi k Bare me Ulema e Ahle Sunnat k jo mokaf ha, Yani un ki Takfeer, Ap k Nazdeek ye moqaf Haq o Darust ha ya nahi.

3.  Ap k name se shaye Kitaab banaam “Firqa Parasti ka Khatima Kyu ker Mumkin” Kia ye ap hi ki Tasneef ha aur is k tamam mundarjaat hasusan darj zail Ibarat se kia ap Mutafiq ha

“Bahamd Allah Musalmaano k Tamam Masaalik aur Makatab e Fikar me aqaid k bare me koi buniyadi Ikhtalaf mojud nahi ha, Al bata farui Ikhtalaf sirf Juziyaat aur Tafseelat ki had tak ha, Jin ki Noiyat tabeeri aur Tashreehi ha, Is liye Tableegi amur me buniyadi aqaid k daira ko chor ker mahaz faruaat o juziaat me Ulajh jana aur in ki bunyad per dusre maslak ko tanqeed o tafseeq ka nishana banana kisi tarah danishmandi aur qareen Insaaf nahi ha’ (Firqa Parasti ka Khatma kyu ker mumkin ho Page 65)

4. Jin Ulema e Haq ne Deobandi, Wahabi, Rafzi wagaira Batil Firqo ki Takfeer ki, Un k Mutaliq ap ka kia nazria ha?

5. Kia ap ka nazria ha k wahabi aur shia k peecha bhi Ahle Sunnat ki namaaz ho jaati ha. Jesa k risala “Deed o shaneed” me ap ka irshaad ha k me Shia aur Wahabi Ulema k peecha namaz parhna sirf pasand nahi kerta’ Jab bhi moqa mile picha namaz parhta hu (Risala Deed o Shaneed Page 4 to 9 APRIL 11, 1986)

6. Syed Al Anbiya Khatim Al Nabiyeen Syedna Wa Molana Mohammadur Rasool Allah SalAllaho Taa’ala Alaihi Wasalam ki Nabuwat ka Munkir Kafir ha Ya Ahl e Imaan ha?

7. Quran Kareem me Ahd e Risalat k Yahood o Nisaara ko Inkaar e Nabuwat e Mohammadi ki bina per kafir kaha gaya’ Chonacha Irshaad e Rabani ha:

Albainah Ayat 1 :

لَمْ یَکُنِ الَّذِیۡنَ کَفَرُوۡا مِنْ اَہۡلِ الْکِتٰبِ وَ الْمُشْرِکِیۡنَ مُنۡفَکِّیۡنَ حَتّٰی تَاۡتِیَہُمُ الْبَیِّنَۃُ ۙ﴿۱﴾

کتابی کافر (ف۲) اور مشرک (ف۳) اپنا دین چھوڑنے کو نہ تھے جب تک ان کے پاس روشن دلیل نہ آئے (ف۴

Kitaabi Kafir aur Mushrik Apna Deen Chorna ko na the Jab tak un k paas Roshan Daleel na aye. “

Ab jo Shakh in Yahood o Nisara ko Ahle Imaan Kahe aur un ko Kuffar me Shamil ne mane wo Quran ka Munkir ha ya Nahi???

8. Ap ne apni Taqreer me Ahl e Kitaab Yahood o Nisaara ko Ahle Imaan (Believers) kaha aur agai chal ker ye bhi kaha k Yahood o Nisara kufar me Shamil nahi ha’ Ap ka ye Qol Quran Kareem ka Radd aur us ka inkaar o Taqzeeb ha ya nahi?

9.Quran o Hadees aur Irshadaat e Aima’a Kiram me kis Muqaam aur Ahde Risalat se le ker Aj tak k Yahood o Nisaara Ahle Imaan me Shamil maana gaya ha, Aur ye Kis Jaga Tahreer ha Yahood o Nisaara Kafir nahi?

Janaab Dr Sahib! Ye Sawalaat Mahz Izhaar aur Inkishaaf e Haqeeqat k liye ap k paas beje ja rahe ha, Pehli Fursat me Jawabaat de ker shak o taradud aur Ikhtalaf o Intishaar ki Tareekio ko dur kera.

FAQT ULEMA E AHLE SUNNAT WA JAMAAT HINDUSTAAN.

DR TAHIR UL QADRI NE HYDERABAD K DORA ME IN TAMAM SAWALAAT K JAWABAAT DENE SE SAAF INKAAR KERDIA.

Dr Tahir ul Qadri asked Questions from Sunnis

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *


Back to top button