Munkir e Hadees. Aik Naya Firqa jo Hadith ka Munkir hai.
Hadees k Munkiro k lye Bahot Kamaal Hadees. Ye to Hamare Aqa SalAllaho Alaihi Wasalam ne apne atai ilm e gaib se bata dia tha Hadees k Munkir dunia me aye ga aur wo Yakinan Juthe ha:
Ye Hadees Tirmizi me bhi ha Abu Daud me bhi ha different rawio k sath me ap ko Sunan Ibn e Maja se likhta hu :
Hawala Sunan Ibn e Maja Jild 1′ Baab Tazeem Hadees e Rasul (Pura aik bab ha) Raqm al Hadees 12 Page 34 Matbua Farid Book Istal Lahore:
Abu Bakar bin Shiba, Zain bin Alhabab Mu’aiytan bin Saleh’ Hassan bin Jabar Muqdaam bin Ma’ad Yakrab Al Kundi RaziAllah Anho farmata ha: Nabi Kareem SalAllaho Alaihi Wasalam ne Irshaad Farmaye: Bahot Jald Asa Zamana Aye ga k Admi apne Takht per takia lagaye betha hoga aur us k samne meri Hadees Bayan ki Jaye gi to jawab me kahe ga hamare aur tumare darmyan faisla kerna wali Allah Talaa ki Kitaab ha Jo Kuch Hum is me Hilal Paye ga Usa Hilal Jane ga aur jo Kuch Haram Paye ga use Haram Samje ga. Agaah Ho jo Kuch Rasul Allah SalAllaho Alaihi Waslaam ne haram farmaya wo bhi wesa hi haram ha jesa Allah ne Haram farmaya.