Aqaid - BeliefsMinhaji

Sufi Conference Exposed by Allama Yasin Akhtar Misbahi (Qarul Qalam, New Delhi)

Tasawwuf aur Sufiya ka Siyasi Istemal Na Qabile Qubool.

Sufi seminar conference (new delhi) se mutallik chand ma’aruzat- Yaseen Akhtar Misbahi, Darul Qalam Zakir Nagar New Delhi-110025

Congress wazire aazam Narsimha Rao ke daure hukumat me 6 December 1992, wo alamnaak tarikh hai jisme Babri Masjid ki shahadat ka hadsa runuma hua aur uska zimmedar aam taur par sangh pariwar (BJP, Vishwa Hindu Parishad, bajrang dal, RSS/Rashtriya swam sewak sangh baghairah) ko samjha jata hai, beshtar siyasi halqe Narsimha Rao ki Ghaflat wa kotahi, darparda sajish, ya khamosh kirdar ko bhi iska zimmedar mante hain aur musalmanane hind bil ittefaq wa tawaqquf, in dono (sangh pariwar aur Narsimha rao) hi ko shahadate Babri Masjid ka mujrim qarar dete hain, isliye in donon se musalman ki narazi apne shabab par thee jiska silsila ab tak jari hai|

Narsimha Rao lobby ko iski sakht fikr lahaq hui ki musalmanon ki shadeed narazghi Congress ki kashti ko le doobegi| 1996 ka parliyament election uske liye maut wa zeest ka sawal thaa ur kuchh aisa hi hua bhi ki musalmanon ne 1996 ke election me aisa sabaq sikhaya ki muddaton wo sabaq yaadgaar rahega|

1999 ki baat hai ki delhi ki ek mulaqaat me jab Mr Mulayam Singh Yadav (sadar samaj wadi paerty) se main kuchh muslim masail par guftgu kar raha tha to daurane guftgu unhon ne ek mauqe par kuchh jhalla kar kaha ki, “ham se ye sara hisab lenge aap? Congress se hisab nahin lenge?

Maine barjista aur bila takalluf jawab diya ki le liya hai ussse hisab, tabhi to sadak par ghoom rahe hain ab unse aur kya hisab len? Mulayam singh ne baat ka rukh badal kar doosri baat shuru kar di| Congress ki Narsimha Rao wali lobby ne 1995 me pure mulk ka survey karaya ki Hindustani musalmanon ka kaun sa tabqa aksariyat me hai? Survey ka maqsad ye tha ki is aksariyat tabqa ko Daam (qeemat) karke 1996 ka election kisi tarah jeet liya jaye, survey report me bataya gaya ki mulk me “Bareilvy Khanqaahi” musalmanon ki taadaat 80% hai, bas phir kyat ha, karoron rupay (millions) ka budget bana diya gaya ki is aksariyat tabqa ke asar daar mazhabi hazraat ki Khidmat me mukhtalif tareeqon se nazraana wa shukraana ki shakl me kuchh pesh karne aur apni baat aage badhane ka silsila shuru kiya jaye| Rabta ki Khidmat anjam dene ke liye pahunche hue mahashay (insaan) muntakhib hue ki ba asar hazraat se rabta karke inhen Congress ke haq le le aao|

is rabta ka silsila kahan se aur kaise shuru hua aur kya kya marahil pesh aaye? Ye to andoorini baat hai, jise muta’aliq afraad hi jante hain| lekin ba zabta muhim shuru hone se pahle ek roz aisa hua ki lagbhag May June 1995 me ek numainda khusoosi mere office Matia Mahal delhi me tashrif laye, aur thodi der musalsal masail par guftgu karne ke baad unhon ne irshad faramaya ki kisi itminan ki jagah chalte hain taki tafseel se kuchh guftgu ho sake| chunanche wo mujhe lekar Pragati Maidan (new delhi) pahunche aur wahan ek jagah baithkar tamheedi guftgu karne ke baad unhon ne faramaya ki “ahle sunnat ki koi mazboot wa mutharik tanzeem nahin hai, jabki deobandiyon ki Jamiat Ulema poore mulk me sargarm hai| main chahta hunk ki Ahle sunnat ki ek aisi tanzim banayi jaye jo Jamiat Ulema se bhi badi ho, ye kaam aap kar sakte hain aur iske liye fund ki koi kami nahin hogi|

is badi peshkash ko sunne ke baad hi chhati hisss (sixth sense) bedar ho chuki thee, maine jawaban arz kiya ki, “aapka khyal to achchha hai, lekin chand maah baad hi Parliyamentary election ki hamahami shuru hone wali hai, isliye behtar hai ki, abhi is baat ko yehin rahne dete hain aur election khatm hone ke baad kisi roz mil baith kar tafsili guftgu kar lete hain aur ek laii’ha amal banane ke baad kaam shuru kar diya jayega”| mera jawab sunne ke baad wo kuchh zyada hi murjhaye azar aaye aur majlis barkhwast ho gayi|

inhin mahashay ji ka ek roz phone aaya aur baghair kisi sabiqa mulaqat wa guftugu ke bade tapak se falsafana andaz me silsila e kalam shuru kiya aur ek ghanta bees minute (1.20) tak guftgu karte rahe, jisme khas zor aur israr is bat par tha ki Narsimha Rao se mulaqaat kar lijiye, iske sath hi sath bade mhazzab andaz me (bainal sutoor) kuchh khusoosi inayaten aur nawazishon ki bhi pesh kash thee| maine do took andaz me Mahashay ji ko jawab diya ki, “Babri Masjid ki shahadat me kahin na kahin aur kisi na kisi tarah se Narsimha Rao ka bhi hath hai isliye main Rao se mulaqaat nahin kar sakta|
unhin dinon (1995) me ek sahib jo milli masail me barson se delhi me sargarm the, urdu sahafi (journalist) bhi hain, wo mere paas Matia Mahal (delhi) aaye aur der tak mujhse guftgu karte rahe, unhen bhi maine Taka sa jawab diya, jiske baad wo mayoos wa na murad wapas laute, jo aajkal bhi zakir nagar (new delhi) me chalte firte aur tahalte hue nazar aate hain|

abhi isi March 2016 ke aagaz me wo ek roz achanak mujhse mile aur 1995 ki apni koshish aur nakami ka zikr karte hue kahne lage ki, “aap kisi tarah qabu me na aa sake warna aapke liye muamla bahut lamba tha”|

Azjo niyaz ke sath Bargahe ilahi me sajda e shukr ada karta hun ki, usne apne ek nada e natwan ko ek bahut sangin imtihan me kamyab w aba murad bana diya aur “hazar daam se nikla hun ek jumbish me, jise Gurur ho aaye mujhe shikar kare|

>Do Dhai maah pahle (2.6 Months) Ulema e mashaikh board (AIUMB) ke ek numainda khusoosi mere paas (Darul Qalam, zakir nagar, new delhi) aaye aur unhone International Sufi Conference Seminar, Bil Khusoos Seminar ke ta’alluk se guftgu ki, sab kuchh sunne ke baad maine saaf alfaz me inkar kar diya, jabki us waqt is sufi conference wa seminar ke talluk se koi charcha tha aur na hi logon ko is bare me koi ilm tha| numainda e khususi ki taraf se adame shirkat ki wajah poochhe jane par maine jawab diya ki, “delhi ki tees (30) saala siyasi wa sahafati tajurbaat wa mushahidaat ki raushni me ye rai qayam ki hai aur ye faisla maine kiya hai|

Baad ki ek guftugu me us numainda khusoosi ne kaha ki board (aiumb) ke sadar muhtaram aap se mulaqaat ke liye darul qalam aana chahte hain| maine kaha ki wo mere paas tashreef layen ya main unke paas jakar mulaqaat karun? Ye to badi achchhi baat hai, magar is waqt is mauzu par koi mulaqaat wa guftugu munasib nahin| ye jawab maine isliye diya ki apne faisle aur mauqif se kisi qeemat par main dast bardaar nahin ho sakta tha aur wo apni manzil ki taraf itne aage badh chuke the ki qadam peechhe nahin hata sakte the| aisi soorat me is mauzoo apr koi mulaaqaat wa guftgu na sirf ye ki ye besud rahti balki khatra is baat ka tha ki guftgu ke kisi marhale me kisi taraf se koi talkhi aur phir badmazgi na paida ho jaye, aur kis ke talluk se koi nazeba kisi ki zuban se na nikal jaye|

Siyasi partiyan jisko qareeb karke usse kuchh kaam lena chahti hain uske mizaj wa ma’ayaar ko samne rakhkar hi koi baat karti aur tajveez pesh karti hain ya iski tajveez par ghaur karti aur ise aage badhati hain|

Chunanche muqaddas shakhsiyat ke liye koi taqaddus numa unwan (deeni aitbar se achchha) taiyyar karti hain aur phir unhen apne dame fareb ka shikar banati hain| jise fareb Khurda logon ko samajhne me aksar auqat kafi der ho jati hai aur ankh us waqt khulti hai jab wo kisi daldal me phans chuke hote hain|

International sufi conference wa seminar (17 se 20 March 2016) ki taiyyariyan zor shor ke sath jari hain, mulki wa ghair mulki bahut se ulema wa mashaikh ki aamd wa shirkat ka charcha hai, iske sath hi awam wa khwas ke zahnon aur unki mehfilon me ye sawaalaat bhi gardish kar rahe hain ki-

1) saikdon madu’ (guest) hazraat bil khusoos ghair mulki aalimon ki aamado raft five star hotels me qayam wa twam (khana) aur baqi intezamat ke akhrajaat (cost) millions me hain, uske liye musalmanon ke maali ta’awun aur chande ki koi khabar nahin, aakhir itni zyada raqam aur itna bada fund kahan se aa raha hai ya kahan se aayega?
govt ke mahkamon se fayda uthane wale NGO aur baqi govt ke schemes se aane wale fund ka bazabta tahreeri record idaron, tanzimon aur vizaraton aur mahakmon ke daftaron me maujood hota hai| jisse fund ke aane aur dene wale log bila jhik jhik ke doosron ko bata sakte hain|

Kisi bhi hukumat ki taraf se is tarah ka taa’wun milna ur use hasil karna sare Hindustan me ra’ij wa ma’amul hai jise koi shaksh bura ya ghalat nahin samajhta hai, magar khalis mazhabi program mun’aqid karne ke liye koi bhi hukumat kisi tarah ka bhi koi mali ta’awun kar hi nahin sakti hai| han sirf ek surat ye hai ki bila hisab o kitab ke paisa jis tarah MLA aur MP ke election me partiyan kharch karti hain aur intikhabi ummeedwar apne voton par kharch karte hain  is tarah ki koi surat ikhtiyar ki jaye |

Magar kahan se aa raha hai? Kahan jar aha hai? Kitna aa raha hai aur kitna ja raha hai? Lene dene wala koi fariq is tarah k sawalon ka jwab khulkar nahin de sakta, yani majmooyi taur par kaha ja sakta hai ki, Ghaliban namaloom source ke bahut bade sarmaye se is sufi conference wa seminar ka arrangement ho raha hai|

Ab sawal ye paida hota hai ki tarikh ke kis daur me sufiya wa Mashaikh ke kisi tabqe ne “mshkook balki mazmoom” zaraye se tasawwuf ki kabhi koi khidmat ki hai?

2) Professor TahirulQqadri bani e idara minhajul quran Lahore ke baaz mazhabi tajawuzat wa inhirafat aise hain ki, Pakistan ke zimmedar mustanad ulema wa mashaikh me se ek bhi aise ma’aruf wa mua’tmad shakhsiyat ya kisi markazi sunni idare maslan darul uloom hijbul ahnaf Lahore, jamia nizamia razvia Lahore, anwarul uloom multan, aur darul uloom amjadia Karachi wa darul uloom naimia Karachi waghaira me se kisi ka naam pesh nahin kiya ja sakta jiski koi ta’eed wa himayat professor tahirul qadri ko hasil hai balki ikhtilaf aur shadeed narazgi ka mahaul paya jata hai|Professor ke ta’alluk se kam az kam jo baat koi shakhsh kah sakta hai who ye ki “mashkook wa muttahim shakhsh hain aur aise shakhsh se door rahne ki hidayat hai, jaisa ki ahle sunnat ke buzurg tareen aalim Shaykhul Islam hazrat madni miyan ashrafi kichauchhvi ne apne ek taza bayan me professor ke ta’aaluk se ye hidayat farmayi hai| aisi soorat me professor ko is conference wa seminar me madu’ karke, khwam o khwah ke ikhtilaf wa inteshar ko dawat dene aur Hindustan ke be shumar ulema e ahle sunnat ko naraz karne ki zaroorat kya thee? Aur ye bhi ek ajib hadisa hai ki wahabiyon ki imamat qubool karne wale tahirul qadri ko nihayat sakhti ke sath inkare imamat ka ailan karne wale Board (AIUMB) ne dawate bila zaroorat wa hajat dekar, daura hind wa shirkate conference wa seminar ki zahmat kyun di?

3) vigyan bhawan new delhi, SVIP kuchh aisi jagah hain jahan shayad hi aaj tak kisi muslim tanzim ka koi program hua ho, is vigyan bhawan ke intikhab ki hikmat wa maslahat yehi samajh me aati hai ki Narendra Modi wazeere azam hukumate hind, sufi conference ka is vigyan bhawan me iftitah karte hue iftitahi khitab bhi farmayenge, jiska muntazameen ki taraf se bazabta ailan ho chuka hai| jabki tasawwuf conference wa seminar me kisi siyasi leader ki shirakt ki zaroorat hi kya thee? Aur aakhir sirf ek siyasi shakhisiyat ko is program me madu’ karne aur use khitab karne ka mauqa dene ka maqsad kya hai? Narendra Modi ko ba haisiyat wazire azam hind madu’ kiya ja sakta tha to Shree Kejriwal (sadar aam aadmi party) ko ba haisiyate wazire aala delhi kyun madu’ nahin kiya gaya? Aur ba’az doosri siyasi partiyon ke sarbarahaan ko bi to madu’ kiya ja sakta tha? Tanha Narendra Modi ki shirkat wa iftitah wa khitab aise sawaalaat ko janm dete hain jinka kisi ke paas koi jawab nahin|

Iska maqsad iske alawa aur kya ho sakta hai ki saikdon ulema wa mashaikh ke jhurmut me Narendra Modi ki maujoodgi aur unhen khitab karte hue jab karodon log media ke zariye dekhenge sunenge to woh na sirf ye kahenge ki, Gujrat qatle aam 2002 Bhool jayenge, balki bahut se logon ke nazdeek is tarah qabile qubool ho jayenge ki Narendra Modi ki kashish inhen nazaryati muslim dushman se BJP ke qareeb kar degi aur BJP musalmanon ke siyasi halqon aur muslim voton me achchhi tarah se paith banane me kamyab ho jayegi|

Sufi Conference wa seminar new delhi ke ta’alluk se ek mukhtasar tareen tabsara ye ho sakta hai ki : “professor tahirul qadri pak wa hind ke mazhabi halqe me ek makhsoosi minhaji jiddat pasandana shohrat ke hamil hain| Narendra Modi hind o pak ke siyasi halqe me apne qadamat pasand Hindutwa wadi nazarye ke liye mashhoor hain, aur is conference wa seminar ke plateform se professor tahirul qadri ko mazhabi qaide azam ki haisiyat se manzare aam par lana, kisi poshida hikmate amli ka maqsad na ho tab bhi iska natija taqreeban yehi niklega aur zaroor niklega|

Kash is sufi conference wa seminar mahdood paimane par hi sahih, apne wasail wa zaraye se intezam aur phir in’iqad kiya jata to is tarah ke bahut se sawalaat paida hi na hoteaur seminar wa conference ko ulema wa mashaikh ahle sunnat ki taeed wa himayat aam taur se hasil hoti|

Aur aakhir me ek sher se main is tahreer ko mauqoof karta hun|
**manat aancha haq bood, guftgu tamaam, Tu dani digar baad azin wassalam**

Yasin Akhtar Misbahi, Darul Qalam, Qadri Masjid Road, Zakir Nagar, Jamia Nagar, New Delhi 110025. 7 March 2016. Mobile: 09350902937

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *


Back to top button