Haqiqi Rafzio ka Imam Shafai ko Rafzi kehna ki Daleel khud per fit kerna – Haq Baat
Haqiqi Rafzio ka Imam Shafai ko Rafzi kehna ki Daleel khud per fit kerna kesa hai?
Dr Tahir ko Rafzi Kaha jaye to wo Daleel deta ha k Imam Shafai AlaiRehma ko bhi kaha gaya tha Rafzi aur Dr Tahir ne bhi Imam Shafi AlaiRehma ka Mash’hoor Shair Be moqa parh dia. Imam Shafai Alai Rehma ka Shair Is tarah Mojud ha. Shairo ka Tarjama Mulahza kijiye:
Jab Hum Ali ki Fazeelat bayan kerta ha to Jahil Log hame Rafzi Kehta ha,
Aur Jab me Abu Bakar ki Fazilat bayan kerta hu to muje Kharji hone ka bohtaan lagaya jata ha,
Me Kharji aur Rafzi Dono Aqeedo ko Maut tak gale lagaye rakhu ga.
((( Sawa’Aqe Muharqah Page 133 )))
Wazeh hogaya Imam Shafai Alai Rehma ko na sirf Rafazi kaha gaya bal k kharji bhi kaha gaya. Doctor Sahib apni Taqreer me Imam Shafai ka sirf aik shair parh ker awam ko dhoka deta ha aur ye Dawa bhi kerta ha k ye Shair Imam Shafai ki har kitaaab me Mojud ha.
Sunnio ko aj kal Dr Sahib Kharji kehta ha to Chaliye hum ap ko dusre Tareeqe se samjta ha. Dr Tahir ap ne farmaya k Imam Shafai ko Rafzi kaha gaya mujh per unhi ka faiz ha, Lekin Janaab Aali Itla’an Arz ha k Ap Jesa Logo ne Hazrat Ali RadiAllah Anho ko bhi Kharji Kaha ((( AlSunatulalkhalaal Page 639 ))) Ab Bataiye Hum per Mola Ali RadiAllaho Anho ka Faiz hua k nahi.
Hazrat Gauz e Azam Rahmatullah Alai Farmata ha k Rafzi Ahle Bait ko Nasbi is liye kehta ha k Ahle Sunnat Imaam ko Jamaat ki Raye se Nasab kerta ha (( Guniat Tutalibeen page 199)))
Ahle Sunnat ko Nasbi kehna Rafzi ki Alamat ha (((Guniyat Tutalibeen 191)))
To Dr Sahib Sunnio k Namwar Ulema per ye Bohtaan baand ker Gaus e Azam Shaikh Abdul Qadri Jilani RadiAllah Anho k mutabiq ap kia hue ?
Click here to read more Articles on Beliefs
Join us on Social Media. Facebook | Twitter | Instagram
Click here to Visit our Video Website.
Click here to Visit our New Books Library