Kya Nabi Alaihis Salam ne Allah ka deedar kia (Roman Urdu) by Mohammad Imran Hussain Saifi
KYA NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE ALLAH KA DEEDAR KIYA HAI ??
HUMARE BICH EK AISA TABKA HAI JO MERAJ KAY TAALUQ SE KEHTA HAI KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE KHUDA KO NAHI DEKHA AUR IS PER NAI(NEW) NAI BAATE LAATE HAI AUR YEH APNE AAPKO SABSE ZYADA PADHNE LIKHNE WALE MAANTE HAI AUR BARELVI JO JAHIL KEHTE HAI JO KI YEH GALAT FEHMI HAI AUR ISKA EK NAMOONA INSHA ALLAH ISI RISALE ME AAP SAB PADHEGE.
INKI PASANDIDA HADEES HAI BUKHARI KI JILD 3 HADEES 2234 SAFA NO. 234 AUR ENGLISH KA HAWALA HAI BUKHARI:: BOOK 93 :: VOLUME 9 :: HADITH 477
TARJUMA: “HAZRAT MASRUQ NE HAZRAT AISHA SE SUNA KI JISNE KAHA NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE KHUDA KO DEKHA WOH JHUTA HAI”
IS HADEES SE YEH BATANA CHAHTE HAI KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE ALLAH KO NAHI DEKHA BALKI HAZRAT JIBRAEL KO DEKHA HAI MAGAR EK HADEES SE PURA AQEEDA AAP NAHI BANAYA JAATA USKE LIYE WASIH MUTA’ALA KARNE KI ZARURAT HOTI HAI.
HUMARA MUTA’ALA KUCH IS TARAH HAI:
KYA ALLAH KO DEKHNA MUMKIN HAI??
AL JAWAAB : SURAH QAYAMAH AAYAT NO. 22-23
TARJUMA : کچھ منھ اس دن (ف۱۸ ) تروتازہ ہوں گے (ف۱۹)
اپنے رب کو دیکھتے (ف۲۰)
:” KUCH MUH IS DIN TARITAAZAH HONGE , APNE RAB KO DEKHTE”
SUBHAN ALLAH QURAN GAWAHI DETA HAI KI BANDE APNE RAB KO DEKHEGE BAAD INTEQAAL KAY AUR ISI AAYAT KI TASHREEH ME EK HADEES IMAM BUKHARI NE LAI HAI
BUKHARI : KITABUT TAWHEED HADEES NO 2291
TARJUMA : “IMAM BUKHARI = ABU OSAMA = AL AMASH = IMAM KHAYTAMA = ALI BIN HATIM SE SUNA ALLAH KAY NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE IRSHAD FARMAYA TUM MESE HAR KOI ANQAREEB APNE RAB SE KALAAM KAREGA,KAISE,KOI BICH ME TARJUMANI KARNE WALA NAH I HOGA (YAANI DIRECT) AUR KOI PARDA BHI NAHI HOGA TUM APNE RAB SE BAAT BHI KAROGE AUR DEEDAR BHI KAROGE BEHIJAB DEKHOGE.
IS HADEES KO
SUNAN ABU DAWOOD KITABUL SUNNAT JILD 2
SUNAN IBN MAAJAH JILD 1 SAFA 63
MUSANAD AHMED JILD 4 SAFA 360 PER BHI NAQAL KIYA HAI.
IS AAYAT SE AUR HADEES SE PATA CHALA KI ALLAH TAALA KO DEKHA JAYEGA AUR YEH NAMUMKIN NAHI.
KYA NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE ALLAH KO DEKHA HAI ?
HADEES # 1
IMAM BUKHARI KITABUT TAUHEED JILD 3 BAAB NO. 1268 HADEES NO. 2364 PER HADEES LIKHTE HAI :
TARJUMA: “HAZRAT ANAS RADIALLATAALA ANHU SE RIWAYAT HAI…… “PURA MERAJ KA WAQYA BAYAN KIYA”…FIR LIKHTE NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE FARMAYA ME SIDRATUL MUNTAHA TAK GAYA,TOH USE AAGE BADA AUR MENE JABBAR RABUL IZZAT KO DEKHA BAHUT KAREEB SE YAHA TAK KAY DO KAMAN HAI BALKE USE BHI ZYADA KAREEB SE DEKHA”.
HADEES # 2
MUSLIM SHAREEF JILD 1 BOOK 1, NUMBER 0342:
TARJUMA: “HAZRAT ABDULLAH IBN SHAQIQ SE RIWAYAT HAI UNHONE APNE WALID HAZRAT ABU ZARR SE PUCHA KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE APNE RAB KA DEEDAR KIYA KYA ISKE MUTALIQ AAPNE RASUL ALLAH SALLALLAHUALAIHIWASALLAM SE KABHI PUCHA,AGAR ME HOTA TOH PUCHTA,KEHTE HAI MERE BÊTE MAINE IS KAY BARE ME PEHLE HI PUCH LIYA THA,NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE FARMAYA MENE APNE RAB KO DEKHA KAY IS AALAM ME KI NOOR HI NOOR THA”.
AB SAWAAL YEH HAI KI EK HI KITAAB ME 2 RIWAYAT AAGAI HAI TOH KISPER AMAL KARE ???
JAWAAB : JAB HAZRAT AISHA KI RIWAYAT DEKHI JAAAYE TOH SHURU YAHA SE HOGI : HAZRAT E MASRUQ KEHTE HAI KI HAZRAT AISHA NE KAHA……
HAZRAT MASRUQ KAUN HAI?? : HAZRAT ABDULLAH IBN MASOOD KAY SAHAB ZAADE HAI AUR TABAI HAI.
JABKI HAZRAT AISHA RADIALLATAALA ANHA SAHABIYA HAI.
AUR HAZRAT MASRUQ KEHTE HAI MENE HAZRAT AISHA RADIALLATAALA ANHA SE SUNA KAY AAP FARMATI HAI JO YEH KAHE KI RASUL ALLAH NE ALLAH TAALA KO DEKHA WOH JHUTA HAI…
YEH HADEES ME TABAI RIWAYAT KARRAHA HAI SAHABIYA SE AUR JIS BUKHARI KI HADEES PER HUM AQEEDA BANA RAHE HAI USME HAZRAT ANAS BIN MALIK HAI JO SAHABI HAI AUR WOH RIWAYAT KARTE HAI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE KAHA YAANI YAHA SAHABI RIWAYAT KARRAHA HAI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM SE TOH JO HAZRAT ANAS BIN MALIK KI RIWAYAT HAI WOH ZYADA MUSTANAD HOGAI HAZRAT AISHA KI HADEES SE.
AB DUSRI TARAH BHI SAMAJTE HAI KI YAHA HAZRAT AISHA RADIALLATAALA ANHA APNI RAI BATA RAHI HAI AUR YAHA NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE KHUD FARMAYA DIYA KI “MENE DEKHA HAI” KEHNE WALI ZAAT RASUL KI HAI TOH QAUL E RASUL MAANA JAYEGA ISKE MUQABLE ME SAHABI KA QAUL NAHI.
AUR YEH AQEEDA HUMARA AAJ KA NAHI BALKI BAHUT PURANA HAI IMAM IBN HAJAR ASQALANI RAHIMULLAH NE APNI KITAB FATAH UL BARI SHARAH SAHI BUKHARI JILD 8 SAFA 494 ME IMAM AHMED BIN HAMBAL KA QAUL IS HADEES KI TASHREEH ME NAQAL KIYA HAI.
عن المروزي قلت لأحمد إنهم يقولون إن عائشة قالت من زعم أن محمدا رأى ربه فقد أعظم على الله الفرية فبأي شيء يدفع قولها قال بقول النبي صلى الله عليه وسلم رأيت ربي قول النبي صلى الله عليه وسلم أكبر من قولها
TOH MUJHE YAQEEN HAI KI IS HADEES KA KHULASA HOGAYA HAI.
HAWALA JAAT:
IN TAMAM IMAMO KA AQEEDA HAI KI NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE APNE MAATHE KI AAKHON SE ALLAH TAALA KO DEKHA HAI.
- BUKHARI JILD 3 SAFA 892
- BUKHARI HADEES NO. 7518
- MUSLIM HADEES NO. 351
- MUSLIM HADEES NO.162
- IMAM TIRMIDHI JILD 2 SAFA 472 & HADEES NO. 3201
- MUSANAD AHMED JILD 1 SAFA 90
- SAHI IBN HIBBAN JILD 1 SAFA 226
- IMAM IBN JARIR TIBRI NE JAMAUL BAYAN JILD 27 SAFA 52
- IMAM HAKIM NE MUSTADARAK JILD 1 SAFA 65
- IMAM KAAZI AYAZ MALIKI KITABUS SHIFA JILD SAFA 121
- IMAM ABDUL BAAKI ZARKANI MALIKI NE SHARUL MAHIB JILD 6 SAFA 120
- HAFIZ IBN E KASEER NE TAFSEER IBN E KASEER JILD 6 SAFA 448
- IMAM YAHYA SHARFUDDIN NAUMI SHAAFI SHARAH MUSLIM JILD 1 SAFA 97
- IMAM IBN HAJAR ASQALANI SHAAFI NE FATAH UL BAARI SHARAH SAHI BUKHARI JILD 8 SAFA 609
- IMAM JALALUDDIN SUYUTI SHAAFI NE SHARAH MUSLIM JILD 1 SAFA 247
- IMAM BADRUDDIN AINI HANFI NE UMDATUL QARI SHARAH SAHI BUKHARI JILD 19 SAFA 199
- IMAM AHMED SHAHABUDDIN KHAFADI MISRI HANFI NE NASEEM UR RIYAZ SHARAH KAZI AAYAZ JILD 2 SAFA 288
- ALLAMA ALI BIN SULTAN MOHAMMAD AL QARI MULLA ALI QARI HANFI NE MIRQAAT SHARAH MISHKAAT JILD 1 SAFA 349
- SHAIKH ABDUL HAQ MUHADDIS DEHLVI HANFI ASHATUL AMAAT SHARAH MISHKAAT JILD 4 SAFA 431
- ALLAMA ISMAIL HAQQI HANFI NE TAFSEER RUHUL BAYAN JILD 9 SAFA 222
- ALLAMA MEHMOOD ALOUSI HANFI NE TAFSEER RUHUL MAANI JILD 27 SAFA 54.
- IMAM NAWAWI NE KITAB AL IMAAN
- IMAM NASAI NE SUNNAN NASAI’I AL KUBRA IN AMAL AL YAWM WAL LAYLAH JILD 6, HADEES NO.11539.
Writer Mohammad Imran Hussain Saifi