Khawab - Dreams

Khawab mai Shetan dekhnai ki tabeer |Devil in Dream by Haq Baat

Question by Shoaib:

Asalam o alliqum !
Hum logon nay eid per achi qurbani ki lakin Meri walda nay khawab main kay aik bari qurbani hui hah jo shaitaan nay ki hah or gosht uss nay bohat ghareeb gharon main bhaija jahan asani se nahi pohanch sakta …is per meri walda kay khawab may kaha kay yeh khawab mai shetan hah or phir bi ghareeb logon ko gosht day raha hah iss per aik awaz atti hah kay yeh iss waja se ghost bant raha hah kay jab mafi ka waqt aye to yeh keh sakay kay main nay tairay ghareeb bandon ko gosht pohanchaya hah….

Meri walda khowab kay baad kafi pareshan hanh aur aj unnho nay sirt gosht banta dekha dubara khawab main….

Answer:

Ye Sawal comments mai pucha gaya tha. Aur ye sab ki Islaah k liye bahot zaruri hai k share kia jaye. Sab se pehle hum waha per diye gaye jawab ko Copy Paste kerai gai phir us k baad nichai tafseeli jawab hai. Yaad rahai Tafseer kernai walo ne tabeero mai Shetan k liye Deo aur Iblees ka lafz bhi istemal kia hai.

Reply to Shoaib:

Walaikum Asalam. Is ka tafseeli jawab bhi hum jaldi upload kerai gai lekin mukhtasir sirf ap k khawab se related is ka jawab ye hai Hazrat Ibn e Seere Rehmatullah Alaih ne farmaya hai k Deo Shetan khawab mai bara dushman, Makar aur farebi shakhs hai. Agar dekhe k deo is ko waswasa dalta hai Daleel hai k Nalaiq bato se tauba kerai taa k dushman is per kamyab na ho sakai. Farmaan e Ilaahi hai k Tehqeeq jo Log Parhaizgar hai Jun un ko Shetan groh Cher chaar kerta hai to wo Naseehat Qabul kertai hai aur Basarat per hotai hai.

Ab ap ki walida k liye mazeed asaan alfaz mai bata detai hai k Un ko Shetan ne faraib mai dalnai ki koshish ki hai. Is ka matlab ye nahi k wo koi galat hai ya un ki qurbani qabul nahi hui. Shetan ko dekhnai k barai mai Hazrat Daniyal Alaihis Salam ne b farmaya hai k Naiki se Na Umeedi ki taraf le k jana. Yani unho ne jo naiki ki un ko lagai qabul hi nahi.

Ap ki Walida jo b Naiki kerai wo sirf Allah ki raza k liye ho na k logo ko dikhanai k liye wo hamesha aisai hi sochai aur agar koi gair sharayi muamlat hai jese dusri aurto ki waja se aj kal aurtai khud gheebato mai parh jati hai har wo chiz jis ki shariat ijazat nahi deti us se tauba bhi kerai taa k Allah ka mazeed qurb hasil ker sakai. Shetan ka hamla Parhaizgaro par hi hota hai jesai Ayat e kareema mai hai shetan groh cher chaar kerta hai. Namazo ki pabandi aur Darood o salam ki kasrat sirf yehi mashwara hai. Baki Allah o Rasool behtar jantai hai.

Shoaib Replies:

Asal main hum logon ko ajeeb khayalat is liyee aa rahay hanh qun kay hamari bi yahi koshish hoti hah kay hum haar uss jaga ghosht pohanchain jahan pohanch mushkil aur gurbaat ziada hah aur khawab main bi shaitaan yahi koshish karta hah kay ghareeb gharon tak pohanch ho ….yahi waja hah kay hum pareshan hanh kay kaheen hamain shaitan se tashbeeh to nahi di gayee aur qurbani main koi rukawat ho……

HaqBaat Replies again:

Shetan ka kaam hai naiki se rokna – Us ne Confusion mai dala hai k Naiki se dur kerai. Ap hamesha aisai hi kerai jesai kertai hai aur Niyat sirf Allah ki raza rakhai warna aj kal log Duur Gareeb nahi dundtai bal k apne freezer mai jaga kitni hai ye dekhtai hai. Shetan un ko nahi confuse kerta kyu k wo already galat ker rahai hai aur gareebo ka hisa b kha rahai hai. Allah azzawajal shetan k shar se mehfuz farmaye.

Baki Aur Naiki k kaamo mai hisa le ker Shetan ko takleef pohanchaye aur alert b rahai k agli chaal kia chalta hai. Ap ko agaah ker dia gaya hai k shetan- Shetania ker raha hai is liye pareshan na ho. Aik Wazeefa bhi bata deta hu k Sotai waqt 3 baar Ayat ul Kursi parh ker Allah ki panah mai ajaya kerai.

Aur mazeed shetan ko waswaso se rokna hai khawab mai to Dil per Shahadat ki Ungli se Hazrat Umer RadiAllaho Anho likh lai. Ye tamam ghar walai wazifa ker lai aur bilkhasus ap ki walida jin ko main target banaya us ne aur un k zariye se bakio ko. Aur dua bhi mangai k Allah azzawajal hamai Shetan k shar se mehfuz farma.

Tafseeli Tabeer Khawab mai Shetan dekhna

Shetan – Deo – Iblees ko dekhnai ki tabeer

Hazrat Ibn e Seeren Alai Rehma

farmatai hai k Deo Khawab mai bara dushman, makar aur farebi Shakhs hai. Agar dekhe k Deo us ko waswasai dalta hai, daleel hai k Nalaik baato se toba kerai ga. Taa k Dushman us per Kamyab na ho sakai. Farman e Ilaahi hai Quran e Majeed mai Sura Al-Araaf Ayat 201 Beshak wo jo Dar walai hai Jab unhe Kisi Shetani Khayal ki Thais lagti hai, Hoshayar ho jatai hai, Usi Waqt un ki Ankhai Khul jati hai (Translation Kanz ul Imaan). Agar dekhe Shetan K sath Lara hai aur Magloob ker lia hai daleel hai us ka deen darust hoga aur agar us k Khilaf hai to Zaeef Deen ki daleel hai.

Hazrat Ibrahim Karmani Alai Rehma

ne farmaya k agar Shetan ko khawab mai Khush dekhai to daleel hai k Sahib e Khawab Hiras (Lalach) aur Shehwat mai Mashgul hoga. Agar Shetan ko Gamnak dekhai to daleel hai k Ibadat aur Deen mai mashgul hoga. Agar dekhai k shetan ne us k jism se kapra utara hai to agar sahib e khawab Hakim hai to hakumat se mazool hoga aur agar ye khawab koi dehati dekhai to daleel hai k us ko nuqsan pohanchai ga.

Hazrat Jabir Magari Alai Rehma

ne farmaya k agar dekhai k deo us k pichai charha hai daleel hai k deo is per fateh paye ga aur agar dekhai k wo deo k hath mai qaid hua hai aur us ko lai gaya hai daleel hai k ruswayi mai mashhur hoga. Agar dekhai k shetan k sath sohbat ki hai daleel hai k bahot bara gunah kera ga. Agar dekhai Deo k sath baat cheet ki hai daleel hai k dushman se Hum Salaah hoga aur Allah azzawajal in ki murad puri kerai ga. Farman e Ilaahi hai Sura Al Mujadila Ayat 10 – Wo Mahwarat Shetan ki taraf se hai, Is liye k Imaan walo ko ranj dai aur wo un ka kuch nahi bigar sakta Bai-Hukam Khuda aur Musalmano ko Allah hi per bharosa kerna chaiye.

Hazrat Ismael Ashat Alai Rehma

ne farmaya hai agar Khawab mai dekhai k us ne shetan k sath khana khaya aur pani piya hai daleel hai k badkar aur fasaad k rastai per aye ga aur shetan ki tabedari kerai ga. Agar us k khilaf dekhe k daleel hai k khair o Salah k kaam per hoga aur deen ki raah per qinaat kerai ga. Agar dekhai k us ne shetan ko pakra hai ya us k pait mai chala gaya hai daleel hai k Raah e Fasaad se Dur hoga aur Toba kera k Ibadat mai mashgool hoga.

Hazrat Jafar Sadiq Alai Rehma

ne farmaya hai k hawab mai Shetan ka dekhna 6 waja per hai. 1. Dushman ko dekhna. 2. Fasaad. 3. Shehwat aur Musibat aur khawahish e Nafs. 4. Ta’at se dur hona. 5. Ahl e Khair aur Islaah se duri talash kerni. 6. Haram chizai.

Hazrat Daniyal Alaihis Salam

ne farmaya hai k khawab mai Iblees ko dekhna dushmani, bad deeni, juth, faraib, Bai Sharmi, Naiki se Na Umeedi aur Logo ko badi sikhanai aur shar o fasaad ki daleel hai. Agr khawab mai dekhai k iblees ko larayi aur jang mai magloob ker lia hai to Daleel hai us ka Meelan Salaah aur Khair ki taraf hai aur agar dekhai k Iblees Us per galib agaya hai to daleel hai k sar aur fasaad ki Raah ki taraf mayal hoga. Agar khawab mai Dekhe k Shetan us se batai kerta hai to daleel hai k us ko Rasta se phere ga aur Ita’at se rokai ga.

Agr dekhe k Iblees is ko naseehat kertai hai aur us ko Bhalai maloom hoti hai to daleel hai k us k maal aur jism ko nuqsan pohanchai gai. Agar dekhei k Iblees ne us ka hath pakra aur us ko us jaga lai gaya aur us ne Sura Al Kahaf Ayat 39 parha

لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِٱللَّٰهِ
ہمیں کچھ زور نہیں مگر اللّٰہ کی مدد کا
We have no power but the help of Allah,

to daleel hai k kisi barai gunah mai k kisi barai gunah mai parai ga aur phir kisi ki naseehat se us gunah se rukai ga. Agar dekhai k us ne Iblees ki gardan mai touq dala hai Daleel hai k Ahl e Deen o Salaah ko Khushi pohanchai gi aur agar dekhai k iblees zaeef aur ajiz hai to daleel hai k musala alimo aur naik logo ki taqat hogi.

Hazrat Karmani Alai Rehma ne farmaya hai agar koi shakhs khawab mai dekhai k iblees ko matee hogaya hai to daleel hai k khawahis nafsani mai mubtala hoga aur agar dekhai k iblees ne us ko kuch dia hai to agar wo achi chiz hai to maal haram paye ga aur agar wo buri chiz hai to daleel hai us k deen mai fasaad hoga.

Aur agar koi shakhs dekhe k iblees shad o khuram hai yani khush hai to daleel hai k logo k kaam mai qawi fasaad hoga. Agar agar dekhai k Iblees ko talwar maar ker halak kerna chahta hai aur wo bhaag gaya hai to daleel hai k us ko aik mulk milai gai aur wo adal o insaaf kerai ga. Agar dekhai k iblees mara hai to daleel hai k apnai nafs ko magloob kerai ga aur naik rastai per chalai ga.

Click here to see more Interpretations of Dreams

Join us on Social Media. Facebook | Twitter | Instagram

Click here to Visit our Video Website.
Click here to Visit a Recipe Website.

Khawab mai Shetan Dekhna
Khawab mai Shetan

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *


Back to top button