Aqaid - BeliefsMinhaji

AIUMB Propaganda aur inka mission (Islam se dushmani)

Photo: Sufi M K Chishti ke sath Sibtain Haider Mehrarvi/Madari

Fake sonfiyon ki conference ke khilaf khud Ashrafi silsile ke buzurgon ke Bayan aur puri duniya me in Islam k dushmanon ke khilaf chal rahi muhim se Aiumb aur iske karkunon me khalbali mach gayi Hai, aur jaisa ki ham jante hain ki ye is zamane ke kazzab ke sathi hain aur khud bhi kazzab hain jo ki Noorani Miyan Ashrafi aur huzur Shaykh ul islam Madni Miyan Ashrafi ke bayanon ne sabit kar diya hai, baqi rahi sahih kasar Mufti Munawwar Husain Ashrafi (hyderabad) ne puri kar di Tahir Padri ko kafir qarar dekar aur Shaykh Akhtar Raza, madni miyan aur baqi ulema e akabirin ke maukif ko Bayan karke. jab AIUMB walon ne dekha ki inki Modi Government se ghulami sabit ho chuki hai to ek aakhiri hathiyar Aalilon aur mashaikhon ke naam par jhooth propaganda hi inke paas aakhiri hathiyar bacha hai aur isi silsile me in logon ne Syed Amin Miyan Barkati ka naam bhi apne sath mila liya aur propagada kar rahe hain ki wo is conference me aa rahe hain jabki abhi tak is bare me koi pukhta jankari nahin mili hai.

Ab in sonfiyon ko apni dukan puri tarah se band hone ho jane ka khatra samne nazar aa gaya aur isi damage control karne k chakkar me aiumb ke president ke do bayan aa aaye, ek ye ki ye conference kisi maslake k khilaf nahin ho rahi hai (darasal pichhle mahine deobandiyon ki conference hui meerut me jisme kaha gaya ki deobandi bareilvy ke naam par hamen koi nahin baant sakta Agar koi difference Hai to ham mil baithkar Hal kar lenge) aur doosra ek jhootha interview de dala jo ki pahli hi nazar me banawati lagta Hai,

Secondly aiumb ke vice president Mr Sibtain Haider Mehrarvi jisne haal hi me RSS ke bahut hi senior member jo ki Israel k sath milkar ek interfaith (chu chu ka murabba ya ye kaho ki sare religions ka churan) bechne ka kaam kar rahe hain (padhen is link se: http://haqbaat.com/syed-sibtain-hayder-the-vice-president-of-aiumb-meeting-with-yahoodi-agent/) jald bazi me woh video me bol dala jo ham sab sunni sunna chaah rahe the jiska khulasa yah Hai ki aiumb ne Tahir padri ko sunne k baad clean chit de di Hai aur uska banaya hua syllabus ye log apne madarson me lagu karwayenge. Wajeh rahe ki Tahir Padri k kufr ki wajah se sari duniya ke ahle sunnat k aalimon ne boycott Kiya hua Hai khud Shaykhul Islam Hazrat Madni miyan Ashrafi ne apne bayanon me baar baar duhraya Hai ki usne apna naya firqa bana liya Hai, aur yah haqeeqat bhi Hai ki padri ne apna ahle sunnat se alag ek firqa Bana Liya Hai, magar deen faroshon k liye ab Madni Miyan Ashrafi bhi hujjat nahin rahe, pahle ye jhooth phailaya gaya ki Padri se Madni Miyan k samne tauba karwayenge magar Madni Miyan aur Noorani Miyan ke bayanon ke baad ye log ab us jhooth ko aur aage nahin badha sake to ye naya drama start kar diya.
Aiumb ka nara tha ki hamen na wahaviyon ki qayadat qubool aur na hi imamat, to ab jabki Tahir Padri jo in sare firqon k sath sath Shia aur baqi firqon ko Haq par manta Hai aur Jordan me Amman agreement bhi sign Kiya hua Hai iske ta’alluk se, sirf itna hi nahin uske nazdeeq yahoodo nassara bhi ahle Eeman hain jiska radd Noorani Miyan ne apni audio me Kiya, to ab AIUMB walon k us nare ka kya hua??
Kya ye Sach nahin ki ye nara sirf bholi bhali sunni awam ka istemal karke apni dukan aage badhane k liye nahin tha?
Jin bhole bhale musalmanon k bare me Huzur alayhi Salam ne kaha Hai ki meri bholi bheden hain?
Ek Zara sa bhi zahan rakhne wala insan is baat ko bakhoobi samajh sakta Hai. Darasal aaj k daur me kisi ko bhi apni dukan Agar chamkani hoti Hai to uske Paas do hi option hote hain, pahla Imam e ahle sunnat imam Ahmad Raza rahmatullahi alaihi ka naam aur doosra deobandiyon wahaviyon k khilaf bolna chahe ilm k naam par inko Arabi ki ek ibarat bhi na padhni aati ho, maslan aiumb k president jinko eid e meelad ki daleel tak nahin Pata aur Internet ka Sahara lete hain dalil k liye jaisa ki unhone khud kaha aur doosra aiumb k vice president sibtain Haider mehrarvi jo ab sirf aur sirf Aala Hazarat rahmatullahi alaihi ki mukhalfat me mubtala hain ya phir chahe khud Tahir padri hi kyon na ho ya koi aur jahan tak aapki nazar dekh sake. Faisla aapko karna Hai ki aap phir se usi sajish ka hissa banna chahte hain jo sajish taqreeban 150 Saal pahle rachi gayi thee jiska nateeja wahavy aur deobandi k Roop me samne aaya, us waqt bhi duniya parast ahle sunnat k aalim the jo britishers ki dawaten udate the, kashtiyan sajayi jati theen, scholarship di jati theen (600 per month)…
Aur aaj bhi aap dekh chuke hain ki kaise kuchh duniya parast khud ko ahle sunnat kahalane wale election se pahle se current govt ko support kar rahe hain aur dawaten bhi khayi ja rahi hain. Islam k azeem Mujahid Sultan Salahuddin Ayubi rahmatullahi alaihi k daur me kuchh duniya parast Muslims islam k dushmano ka favour karte the US waqt bhi islam k khilaf aisa hi propaganda Kiya jata tha…
Aur aakhir me is sadi ke azeem mujahid Ghazi Mumtaz Husain Qadri Shaheed rahmatullahi alaihi se related aapko in Aiumb walon ya Tahir padri se related kisi bhi shakhs ki profile me ghazi ki tareef k muttaliq ek Lafz nahin bhi nahin mil sakta…
Hadith: Abdulla Ibn Umar (radi Allahu Anhu) se riwayat hai ki Allah k Nabi (sallallaho alayhi wasallam) ne faramaya: hyukmranon ki pairvi karne se hoshiyar raho, jo insan hukmranon k jitney najdeeq hoga wo Allah se utna hi door ho jayega aur jo kisi hukmraan ki pairvi karega aur uske kamon ko jawaz (justify) dega (uske bure kamon k khilaf na bolkar) to Allah aise insan k dil me fitnah daal dega (zahir aur androoni dono tarah se) aur uske dil se apna khauf nikal dega aur Allah usko gumrah chhod dega. [Daylami] FAISLA AAPKA…
Photo me sonfi m k chishti k sath sibtain Haider mehrarvi vice president of Aiumb.
Sufi MK Chishti ke bare me janne ke liye Facebook par type kare M K Chishti aur khud iske bare me jane ki kaise ye Qaum ka gaddar islam ke dushmanon ke hathon ki kathputli bana hua hai.

Twitter se jane iske bare me: https://twitter.com/MSufiSaint?ref_src=twsrc%5Egoogle%7Ctwcamp%5Eserp%7Ctwgr%5Eauthor

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button

Adblock Detected

Please Remove our Site from Ad Blocker or Dsiable it and Support Us.
yalova evden eve nakliyatsakarya evden eve nakliyattuzla evden eve nakliyatgebze nakliyatMedyummarsbahiscasibomseo çalışmasıpancakeswap botfront running botdextools trendingdextools trending botankara çekiciEtimesgut evden eve nakliyatgoogle adseryaman evden eve nakliyatuc satın alcasibom
Sweet bonanza demoAviator oynaCasinoslotgates of olympus oynasweet bonanzasugar rush oynasweet bonanza oynaCasinoslotBahisnowcasibomgrandpashabetcasibombetsatbets10holiganbetbaywinMaltcasinohacklinkmatadorbetbeylikdüzü escortBetofficemarsbahisikimislivbetdeneme bonusu veren siteler1xbetbycasinomarsbahisikimisli girişen güvenilir slot sitelerideneme bonusu veren sitelercasibombetkom güncel girişcasibomcasibom